Iftikhar Qaisar
Ghazal 7
Sher-o-Shayari 4
is qadar baḌhne lage haiñ ghar se ghar ke fāsle
dostoñ se shaam ke paidal safar chhīne ga.e
is qadar baDhne lage hain ghar se ghar ke fasle
doston se sham ke paidal safar chhine gae
-
Share this
- See Ghazal
be-ghar honā be-ghar rahnā sab achchhā Thahrā
ghar ke andar ghar nahīñ paayā shahr meñ paayā shahr
be-ghar hona be-ghar rahna sab achchha Thahra
ghar ke andar ghar nahin paya shahr mein paya shahr
-
Share this
- See Ghazal
mire chehre ko chehra kab ināyat kar rahe ho
tumheñ mere sivā chehra tumhārā kaun degā
mere chehre ko chehra kab inayat kar rahe ho
tumhein mere siwa chehra tumhaara kaun dega
-
Share this
- See Ghazal
saare dariyā phuuT paḌeñge ik duuje ke biich
ik din aa kar mil jā.egī terī merī pyaas
sare dariya phuT paDenge ek duje ke bich
ek din aa kar mil jaegi teri meri pyas
-
Share this
- See Ghazal