Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Ikram Mujeeb

Sher of Ikram Mujeeb

is hasīn manzar se dukh ka.ī ubharne haiñ

dhuup jab utarnī hai barf ke makānoñ par

is hasin manzar se dukh kai ubharne hain

dhup jab utarni hai barf ke makanon par

kis qadar gunāhoñ ke murtakib hue haiñ ham

jo sukūn luTtā hai baar baar is ghar

kis qadar gunahon ke murtakib hue hain hum

jo sukun luTta hai bar bar is ghar ka

kam zarā na hone ek lafz hurmat

ek ahd saarī umr pāsdārī

kam zara na hone di ek lafz ki hurmat

ek ahd ki sari umr pasdari ki

hijr masāfat meñ saath rahā har dam

duur ho ga.e tujh se jab tire qarīñ pahuñche

hijr ki masafat mein sath tu raha har dam

dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche

ek dard lazzat barqarār rakhne ko

kuchh latīf jazboñ ḳhuuñ se ābyārī

ek dard ki lazzat barqarar rakhne ko

kuchh latif jazbon ki KHun se aabyari ki

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now