Sher of Inder Saraazi
dukh udāsī malāl ġham ke sivā
aur bhī hai koī makān meñ kyā
dukh udasi malal gham ke siwa
aur bhi hai koi makan mein kya
sāvan kī is rim-jhim meñ
bhiig rahā hai tanhā chāñd
sawan ki is rim-jhim mein
bhig raha hai tanha chand
jis kā Dar thā vahī huā yaaro
vo faqat ham se hī ḳhafā niklā
jis ka Dar tha wahi hua yaro
wo faqat hum se hi KHafa nikla
baḌī mushkil se bahlāyā thā ḳhud ko
achānak yaad terī aa ga.ī phir
baDi mushkil se bahlaya tha KHud ko
achanak yaad teri aa gai phir
kitnā pyārā lagtā hai
hotā hai jab puurā chāñd
kitna pyara lagta hai
hota hai jab pura chand
chhoḌ ke mujh ko kyā gayā vo shaḳhs
tab se sab kuchh hī luT gayā merā
chhoD ke mujh ko kya gaya wo shaKHs
tab se sab kuchh hi luT gaya mera
ik ajab shor bapā hai andar
phir se dil TuuT rahā hai shāyad
ek ajab shor bapa hai andar
phir se dil TuT raha hai shayad
kyā ḳhabar kyā ḳhatā mirī thī ki jo
mujh se rūThā rahā ḳhudā merā
kya KHabar kya KHata meri thi ki jo
mujh se ruTha raha KHuda mera
jo milā toḌtā gayā us ko
dil lagā thā mirā hazāroñ se
jo mila toDta gaya us ko
dil laga tha mera hazaron se
kuchh havā kā bhī haath thā varna
parda yuuñ hī hilā nahīñ hotā
kuchh hawa ka bhi hath tha warna
parda yun hi hila nahin hota
aur to koī thā nahīñ shāyad
raat ko uTh ke maiñ hī chīḳhā thā
aur to koi tha nahin shayad
raat ko uTh ke main hi chiKHa tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāz-dāñ hote haiñ vo ghar aksar
jin gharoñ meñ dhuāñ nahīñ hotā
raaz-dan hote hain wo ghar aksar
jin gharon mein dhuan nahin hota
ab kisī kaam ke nahīñ ye rahe
dil vafā ishq aur tanhā.ī
ab kisi kaam ke nahin ye rahe
dil wafa ishq aur tanhai
dil ke ḳhuuñ se bhī sīñch kar dekhā
peḌ kyuuñ ye harā nahīñ hotā
dil ke KHun se bhi sinch kar dekha
peD kyun ye hara nahin hota
kyā ḳhabar kab baras ke TuuT paḌe
har taraf aisī hai ghaTā chhā.ī
kya KHabar kab baras ke TuT paDe
har taraf aisi hai ghaTa chhai
ḳhuub thī ab magar badal sī ga.ī
tere is shahr kī ye tanhā.ī
KHub thi ab magar badal si gai
tere is shahr ki ye tanhai
sadā har baar dohrāyā gayā huuñ
maiñ naġhme kī tarah gaayā gayā huuñ
sada har bar dohraya gaya hun
main naghme ki tarah gaya gaya hun
bas vahī merī āḳhirī shab thī
chāñd jis raat mujh se rūThā thā
bas wahi meri aaKHiri shab thi
chand jis raat mujh se ruTha tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī tohfa na haar chāhtā huuñ
maiñ faqat terā pyaar chāhtā huuñ
koi tohfa na haar chahta hun
main faqat tera pyar chahta hun
ḳhvāhisheñ bhī zarūrī haiñ lekin
zindagī ḳhvāhishoñ kī dushman hai
KHwahishen bhi zaruri hain lekin
zindagi KHwahishon ki dushman hai
āḳhirī umr tak rahegī yaad
raat maiñ saath jis ke bhīgā thā
aaKHiri umr tak rahegi yaad
raat main sath jis ke bhiga tha
abhī to mausam-e-ḳhizāñ hai ye
khileñge phuul bhī bahār ke saath
abhi to mausam-e-KHizan hai ye
khilenge phul bhi bahaar ke sath
anā rahtī thī pahle-pahl lekin
hamāre darmiyāñ ab kuchh nahīñ hai
ana rahti thi pahle-pahl lekin
hamare darmiyan ab kuchh nahin hai
faqat chand rusvā.iyoñ ke sivā aur
tire shahr meñ merī kyā aabrū hai
faqat chand ruswaiyon ke siwa aur
tere shahr mein meri kya aabru hai
hamāre darmiyāñ ab kuchh nahīñ hai
magar phir bhī chhupānā chāhtā huuñ
hamare darmiyan ab kuchh nahin hai
magar phir bhi chhupana chahta hun
log aksar yahī batāte haiñ
maiñ jahāñ huuñ vahāñ nahīñ hotā
log aksar yahi batate hain
main jahan hun wahan nahin hota
vo maza ab kahāñ rahā yaaro
liyā thā jo maza javānī meñ
wo maza ab kahan raha yaro
liya tha jo maza jawani mein
āñkheñ maltā rotā chāñd
dekho phir se niklā chāñd
aankhen malta rota chand
dekho phir se nikla chand