Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iqbal Kausar's Photo'

Iqbal Kausar

Sher of Iqbal Kausar

1.4K
Favorite

SORT BY

jis tarah log ḳhasāre meñ bahut sochte haiñ

aaj kal ham tire baare meñ bahut sochte haiñ

jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain

aaj kal hum tere bare mein bahut sochte hain

tirī pahlī diid ke saath vo fusūñ bhī thā

tujhe dekh kar tujhe dekhnā mujhe aa gayā

teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha

tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya

ziyān-e-dil is bāzār meñ sūd-e-mohabbat hai

yahāñ hai fā.eda ḳhud ko agar nuqsān meñ rakh leñ

ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai

yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len

vo bhī ro ro ke bujhā Daalā hai ab āñkhoñ ne

raushnī detā thā jo ek diyā andar se

wo bhi ro ro ke bujha Dala hai ab aankhon ne

raushni deta tha jo ek diya andar se

banñā thā to bantā na farishta na ḳhudā maiñ

insān bantā mirī takmīl to ye thī

banna tha to banta na farishta na KHuda main

insan hi banta meri takmil to ye thi

mirī ḳhaak us ne bikher sar-e-rah ġhubār banā diyā

maiñ jab aa sakā na shumār meñ mujhe be-shumār banā diyā

meri KHak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya

main jab aa saka na shumar mein mujhe be-shumar bana diya

ab bāñjh zamīnoñ se ummīd bhī kyā rakhnā

ro.eñ bhī to lā-hāsil bo.eñ bhī to kyā kāTeñ

ab banjh zaminon se ummid bhi kya rakhna

roen bhi to la-hasil boen bhi to kya kaTen

tire juzv juzv ḳhayāl ko rag-e-jāñ meñ puurā utaar kar

vo jo baar baar shakl thī use ek baar banā diyā

tere juzw juzw KHayal ko rag-e-jaan mein pura utar kar

wo jo bar bar ki shakl thi use ek bar bana diya

par le ke kidhar jaa.eñ kuchh duur tak uḌ aa.eñ

dam jitnā mayassar hai ye Thahrī havā kāTeñ

par le ke kidhar jaen kuchh dur tak uD aaen

dam jitna mayassar hai ye Thahri hawa kaTen

dhyān aayā mujhe raat tanhā-safarī

yak-dam koī saaya galī se nikal aayā

dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka

yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now