Sher of Iqbal Khawar
merī vahshat to miyāñ mujh meñ thī
ye jo sahrā hai kahāñ thā pahle
meri wahshat to miyan mujh mein thi
ye jo sahra hai kahan tha pahle
sulūk aisā nahīñ us kā phir bhī jaane kyoñ
vo yaad aa.e to dil se duā nikaltī hai
suluk aisa nahin us ka phir bhi jaane kyon
wo yaad aae to dil se dua nikalti hai
bahut vo saath rahā hai bahut hai yaad mujhe
use bhulāne ko 'ḳhāvar' ye zindagī kam hai
bahut wo sath raha hai bahut hai yaad mujhe
use bhulane ko 'KHawar' ye zindagi kam hai
aa.ine par koī tohmat na dharo
ḳhāl-o-ḳhad apne sañvāro sāhab
aaine par koi tohmat na dharo
KHal-o-KHad apne sanwaro sahab
ye gavāhī tire safar kī hai
ye thakan kyoñ utārtā hai miyāñ
ye gawahi tere safar ki hai
ye thakan kyon utarta hai miyan
us ko matlab kā jab milā mausam
rang us ke the dekhne vaale
us ko matlab ka jab mila mausam
rang us ke the dekhne wale
tum ne bahtā dariyā dekhā aur maiñ ne
paanī par ik aks Thaharte dekhā hai
tum ne bahta dariya dekha aur main ne
pani par ek aks Thaharte dekha hai
iz.hār kī ye bhī sūrat thī
ḳhāmoshī ko fariyād kiyā
izhaar ki ye bhi surat thi
KHamoshi ko fariyaad kiya
tū bhī dekhegā zarā rang utar leñ tere
ham hī rakhte haiñ tujhe yaad ki sab rakhte haiñ
tu bhi dekhega zara rang utar len tere
hum hi rakhte hain tujhe yaad ki sab rakhte hain
aisā huuñ bad-gumān ki dastak to us ne dī
lekin mirā ḳhayāl havā kī taraf gayā
aisa hun bad-guman ki dastak to us ne di
lekin mera KHayal hawa ki taraf gaya
ik tire ishq ke havāle se
kaam kitne yahāñ nikal aa.e
ek tere ishq ke hawale se
kaam kitne yahan nikal aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
niiñd mat DhūñD merī āñkhoñ meñ
silvaTeñ dekh mere bistar par
nind mat DhunD meri aankhon mein
silwaTen dekh mere bistar par
mohabbat aisā darvāza hai 'ḳhāvar'
har ik dastak pe jo khultā nahīñ hai
mohabbat aisa darwaza hai 'KHawar'
har ek dastak pe jo khulta nahin hai
bahut hairat-zada hai aa.ina bhī
ki chehre par koī chehra nahīñ hai
bahut hairat-zada hai aaina bhi
ki chehre par koi chehra nahin hai
kyoñ mirī dāstāñ kā hissa haiñ
jo mirī dāstāñ ke the hī nahīñ
kyon meri dastan ka hissa hain
jo meri dastan ke the hi nahin
ye us ke lams kā jaadū nahīñ to phir kyā hai
havā ne chūmā hai mujh ko gale milī hai shaam
ye us ke lams ka jadu nahin to phir kya hai
hawa ne chuma hai mujh ko gale mili hai sham
khulā thā lafz bhī jādū-misāl hote haiñ
vo jab gulāb huā thā gulāb kahne se
khula tha lafz bhi jadu-misal hote hain
wo jab gulab hua tha gulab kahne se