Dohe of Jamal Panipati
diyā bujhā phir jal jaa.e aur rut bhī palTā khaa.e
phir jo haath se jaa.e samay vo kabhī na lauT ke aa.e
diya bujha phir jal jae aur rut bhi palTa khae
phir jo hath se jae samay wo kabhi na lauT ke aae
motī mūñge kañkar patthar bache na koī bhaa.ī
samay kī chakkī sab ko piise kyā parbat kyā raa.ī
moti munge kankar patthar bache na koi bhai
samay ki chakki sab ko pise kya parbat kya rai
kaise kaise viir sūrmā jag meñ jin kā maan
jag se jiite samay se haare samay baḌā balvān
kaise kaise wir surma jag mein jin ka man
jag se jite samay se haare samay baDa balwan
samay ke saare khel haiñ pyāre kah ga.e jagat 'kabīr'
aap hañsā.e aap rulā.e aap bañdhā.e dhiir
samay ke sare khel hain pyare kah gae jagat 'kabir'
aap hansae aap rulae aap bandhae dhir
samay kī rachnā samay kā pher aur samay ke sab bahrūp
kyā añdhiyāre kyā ujiyāle kyā chhāñv kyā dhuup
samay ki rachna samay ka pher aur samay ke sab bahrup
kya andhiyare kya ujiyale kya chhanw kya dhup
sadā na ujlā din hī rahe aur sadā na kaalī rain
rañg badaltā jaa.e samay aur Tuk-Tuk dekheñ nain
sada na ujla din hi rahe aur sada na kali rain
rang badalta jae samay aur Tuk-Tuk dekhen nain