Jameeluddin Aali
Ghazal 42
Nazm 7
Sher-o-Shayari 10
tere ḳhayāl ke dīvār-o-dar banāte haiñ
ham apne ghar meñ bhī terā hī ghar banāte haiñ
tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain
hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain
-
Share this
- See Ghazal
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azīzoñ ke
in se hī jīvan bantā hai so jīvan ban jā.egā
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke
in se hi jiwan banta hai so jiwan ban jaega
-
Share this
- See Ghazal
tum aise kaun ḳhudā ho ki umr bhar tum se
umiid bhī na rakhūñ nā-umīd bhī na rahūñ
tum aise kaun KHuda ho ki umr bhar tum se
umid bhi na rakhun na-umid bhi na rahun
-
Share this
- See Ghazal
bikherte raho sahrā meñ biij ulfat ke
ki biij hī to ubhar kar shajar banāte haiñ
bikherte raho sahra mein bij ulfat ke
ki bij hi to ubhar kar shajar banate hain
-
Share this
- See Ghazal
ajnabiyoñ se dhoke khānā phir bhī samajh meñ aatā hai
is ke liye kyā kahte ho vo shaḳhs to dekhā-bhālā thā
ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh mein aata hai
is ke liye kya kahte ho wo shaKHs to dekha-bhaala tha
-
Share this
- See Ghazal
Doha 21
BOOKS 166
Image Shayari 4
pyaar kare aur siskii bhare phir siskii bhar kar pyaar kyaa jaane kab ik ik kar ke bhaag ga.e sab yaar
ye jo ba.Dhtii hu.ii judaa.ii hai shaayad aaGaaz-e-be-vafaa.ii hai tuu na badnaam ho usii KHaatir saarii duniyaa se aashnaa.ii hai kis qadar kashmakash ke baa'd khulaa ishq hii ishq se rihaa.ii hai shaam-e-Gam mai.n to chaa.nd huu.n us kaa mere ghar kyaa samajh ke aa.ii hai zaKHm-e-dil be-hijaab ho ke ubhar ko.ii taqriib-e-ruu-numaa.ii hai uThtaa jaataa hai hauslo.n kaa bharam ik sahaaraa shikasta-paa.ii hai jaan 'aalii' nahii.n pa.Dii aasaa.n maut ro ro ke muskuraa.ii hai
'aalii' ab ke kaThin pa.Daa diivaalii kaa tyauhaar ham to ga.e the chailaa ban kar bhayyaa kah ga.ii naar