Dohe of Jameeluddin Aali
har ik baat meñ Daale hai hindū muslim kī baat
ye nā jaane alhaḌ gorī prem hai ḳhud ik zaat
har ek baat mein Dale hai hindu muslim ki baat
ye na jaane alhaD gori prem hai KHud ek zat
urdu vaale hindī vaale donoñ hañsī uḌā.eñ
ham dil vaale apnī bhāshā kis kis ko sikhlā.eñ
urdu wale hindi wale donon hansi uDaen
hum dil wale apni bhasha kis kis ko sikhlaen
'ālī' ab ke kaThin paḌā dīvālī kā tyauhār
ham to ga.e the chailā ban kar bhayyā kah ga.ī naar
'ali' ab ke kaThin paDa diwali ka tyauhaar
hum to gae the chaila ban kar bhayya kah gai nar
niiñd ko roknā mushkil thā par jaag ke kaaTī raat
sote meñ aa jaate vo to nīchī hotī baat
nind ko rokna mushkil tha par jag ke kaTi raat
sote mein aa jate wo to nichi hoti baat
sājan ham se mile bhī lekin aise mile ki haa.e
jaise sūkhe khet se bādal bin barse uḌ jaa.e
sajan hum se mile bhi lekin aise mile ki hae
jaise sukhe khet se baadal bin barse uD jae
nā koī us se bhaag sake aur nā koī us ko paa.e
aap hī ghaao lagā.e samay aur aap hī bharne aa.e
na koi us se bhag sake aur na koi us ko pae
aap hi ghao lagae samay aur aap hi bharne aae
dariyā dariyā ghūme māñjhī peT kī aag bujhāne
peT kī aag meñ jalne vaalā kis kis ko pahchāne
dariya dariya ghume manjhi peT ki aag bujhane
peT ki aag mein jalne wala kis kis ko pahchane
pahle kabhī nahīñ guzrī thī jo guzrī is shaam
sab kuchh bhuul chuke the lekin yaad rahā ik naam
pahle kabhi nahin guzri thi jo guzri is sham
sab kuchh bhul chuke the lekin yaad raha ek nam
burqā-posh paThānī jis kī laaj meñ sau sau ruup
khul ke na dekhī phir bhī dekhī ham ne chhāñv meñ dhuup
burqa-posh paThani jis ki laj mein sau sau rup
khul ke na dekhi phir bhi dekhi hum ne chhanw mein dhup
dohe kabit kah kah kar 'ālī' man kī aag bujhā.e
man kī aag bujhī na kisī se use ye kaun batā.e
dohe kabit kah kah kar 'ali' man ki aag bujhae
man ki aag bujhi na kisi se use ye kaun batae
roz ik mahfil aur har mahfil nāriyoñ se bharpūr
paas bhī hoñ to jaan ke baiTheñ 'ālī' sab se duur
roz ek mahfil aur har mahfil nariyon se bharpur
pas bhi hon to jaan ke baiThen 'ali' sab se dur
bābū-gīrī karte ho ga.e 'ālī' ko do saal
murjhāyā vo phuul sā chehra bhūre paḌ ga.e baal
babu-giri karte ho gae 'ali' ko do sal
murjhaya wo phul sa chehra bhure paD gae baal
pyaar kare aur siskī bhare phir siskī bhar kar pyaar
kyā jaane kab ik ik kar ke bhaag ga.e sab yaar
pyar kare aur siski bhare phir siski bhar kar pyar
kya jaane kab ek ek kar ke bhag gae sab yar
shahr meñ charchā aam huā hai saath the ham ik shaam
mujhe bhī jāneñ tujhe bhī jāneñ log kareñ bad-nām
shahr mein charcha aam hua hai sath the hum ek sham
mujhe bhi jaanen tujhe bhi jaanen log karen bad-nam
dhīre dhīre kamar kī saḳhtī kursī ne lī chaaT
chupke chupke man kī shaktī afsar ne dī kaaT
dhire dhire kamar ki saKHti kursi ne li chaT
chupke chupke man ki shakti afsar ne di kaT
'sūr' 'kabīr' 'bihārī' 'mīrā' 'rahiman' 'tulsī-dās'
sab kī sevā kī par 'ālī' ga.ī na man kī pyaas
'sur' 'kabir' 'bihaari' 'mira' 'rahiman' 'tulsi-das'
sab ki sewa ki par 'ali' gai na man ki pyas
kachche mahl kī raanī aa.ī raat hamāre paas
hoñT pe lākhā gaal pe laalī āñkheñ bahut udaas
kachche mahl ki rani aai raat hamare pas
honT pe lakha gal pe lali aankhen bahut udas
roTī jis kī bhīnī ḳhushbū hai hazāroñ raag
nahīñ mile to tan jal jaa.e mile to jīvan aag
roTi jis ki bhini KHushbu hai hazaron rag
nahin mile to tan jal jae mile to jiwan aag
ek bidesī naar kī mohnī sūrat ham ko bhaa.ī
aur vo pahlī naar thī bhayyā jo niklī harjā.ī
ek bidesi nar ki mohni surat hum ko bhai
aur wo pahli nar thi bhayya jo nikli harjai
ik gahrā sunsān samundar jis ke laakh bahāo
taḌap rahī hai us kī ik ik mauj pe jīvan-nāv
ek gahra sunsan samundar jis ke lakh bahao
taDap rahi hai us ki ek ek mauj pe jiwan-naw
is dīvānī dauḌ meñ bach bach jaatā thā har baar
ik dohā so ise bhī le jā tū hī ḳhush rah yaar
is diwani dauD mein bach bach jata tha har bar
ek doha so ise bhi le ja tu hi KHush rah yar