Sher of Kaifi Bilgrami
ik ik qadam pe rakkhī hai yuuñ zindagī kī laaj
ġham kā bhī ehtirām kiyā hai ḳhushī ke saath
ek ek qadam pe rakkhi hai yun zindagi ki laj
gham ka bhi ehtiram kiya hai KHushi ke sath
mujhe chāk-e-garebāñ par hañsī aa.ī to hai lekin
mire hañsne pe un kī aañkh bharī aa.ī to kyā hogā
mujhe chaak-e-gareban par hansi aai to hai lekin
mere hansne pe un ki aankh bhari aai to kya hoga
har qadam par rah-e-mohabbat meñ
zindagī kā savāl aatā hai
har qadam par rah-e-mohabbat mein
zindagi ka sawal aata hai
ham ne irāda tark-e-tamannā kā jab kiyā
terā ḳhayāl ai dil-e-nākām aa gayā
hum ne irada tark-e-tamanna ka jab kiya
tera KHayal ai dil-e-nakaam aa gaya