Sher of Karamat Ali Karamat
hamesha aag ke dariyā meñ ishq kyuuñ utre
kabhī to husn ko ġharq-e-azāb honā thā
hamesha aag ke dariya mein ishq kyun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azab hona tha
koī zamīn hai to koī āsmān hai
har shaḳhs apnī zaat meñ ik dāstān hai
koi zamin hai to koi aasman hai
har shaKHs apni zat mein ek dastan hai
maiñ lafz lafz meñ tujh ko talāsh kartā huuñ
savāl meñ nahīñ aatā na aa javāb meñ aa
main lafz lafz mein tujh ko talash karta hun
sawal mein nahin aata na aa jawab mein aa
-
Tag : Hijr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
manzil pe bhī pahuñch ke mayassar nahīñ sakūñ
majbūr is qadar haiñ shu.ūr-e-safar se ham
manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se hum
ġham-e-firāq ko siine se lag ke sone do
shab-e-tavīl kī hogī sahar kabhī na kabhī
gham-e-firaq ko sine se lag ke sone do
shab-e-tawil ki hogi sahar kabhi na kabhi
vo kaun thā jo mirī zindagī ke daftar se
hurūf le gayā ḳhālī kitāb chhoḌ gayā
wo kaun tha jo meri zindagi ke daftar se
huruf le gaya KHali kitab chhoD gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sukūn vasl meñ itnā nasīb ho ki na ho
jis iztirāb se maiñ intizār kartā huuñ
sukun wasl mein itna nasib ho ki na ho
jis iztirab se main intizar karta hun
TuuT kar kitnoñ ko majrūh ye kar saktā hai
sañg tū ne abhī dekhā nahīñ shīshe kā jigar
TuT kar kitnon ko majruh ye kar sakta hai
sang tu ne abhi dekha nahin shishe ka jigar
vo merī fahm kā letā hai imtihāñ shāyad
ki har savāl se pahle javāb māñge hai
wo meri fahm ka leta hai imtihan shayad
ki har sawal se pahle jawab mange hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chubh rahā thā dil meñ har dam kar rahā thā be-qarār
ik aziyyat-nāk pahlū jo mirī rāhat meñ thā
chubh raha tha dil mein har dam kar raha tha be-qarar
ek aziyyat-nak pahlu jo meri rahat mein tha
ġham-e-hastī bhalā kab mo'tabar ho
mohabbat meñ na jab tak aañkh tar ho
gham-e-hasti bhala kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho
patvār gir ga.ī thī samundar kī god meñ
dil kā safīna phir bhī lahū ke safar meñ thā
patwar gir gai thi samundar ki god mein
dil ka safina phir bhi lahu ke safar mein tha
maiñ shuā-e-zāt ke siine meñ gūñjā huuñ kabhī
aur 'karāmat' maiñ kabhī lamhoñ ke ḳhvāboñ meñ rahā
main shua-e-zat ke sine mein gunja hun kabhi
aur 'karamat' main kabhi lamhon ke KHwabon mein raha
tum mirā haal pūchhte kyā ho
ab to jis haal meñ huuñ achchhā hai
tum mera haal puchhte kya ho
ab to jis haal mein hun achchha hai
tum hameñ yaad karo yā na karo
ham tumheñ yaad kiye jaate haiñ
tum hamein yaad karo ya na karo
hum tumhein yaad kiye jate hain
achchhā hai yā ḳharāb nahīñ is se vāsta
phūTā huā ye merā muqaddar mujhe aziiz
achchha hai ya KHarab nahin is se wasta
phuTa hua ye mera muqaddar mujhe aziz
ye apne hī kirdār kā hai natīja
jo rab kī taraf se ye ham par ġhazab hai
ye apne hi kirdar ka hai natija
jo rab ki taraf se ye hum par ghazab hai
jo aaya hai use jaanā hai ik din
azal se to yahī ik silsila hai
jo aaya hai use jaana hai ek din
azal se to yahi ek silsila hai
kyā zamāne kā e.atibār karūñ
ab nahīñ apnā e.atibār mujhe
kya zamane ka eatibar karun
ab nahin apna eatibar mujhe
tum kaam apnā kal ke liye chhoḌte ho kyoñ
dekhā hai kis ne kal ko jo karnā hai kar lo aaj
tum kaam apna kal ke liye chhoDte ho kyon
dekha hai kis ne kal ko jo karna hai kar lo aaj
hāthī ke ka.ī daañt chabāne ke liye haiñ
kuchh daañt magar sirf dikhāne ke liye haiñ
hathi ke kai dant chabane ke liye hain
kuchh dant magar sirf dikhane ke liye hain
haath aa.e karāmat ko kyā ālam-e-fānī se
aaya hai bashar tanhā jā.egā bashar ḳhālī
hath aae karamat ko kya aalam-e-fani se
aaya hai bashar tanha jaega bashar KHali