Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Karrar Noori's Photo'

Karrar Noori

1916 - 1990 | Karachi, Pakistan

Sher of Karrar Noori

nākāmiyoñ ne aur bhī sarkash banā diyā

itne hue zalīl ki ḳhuddār ho ga.e

nakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya

itne hue zalil ki KHuddar ho gae

kaun ho saktā hai aane vaalā

ek āvāz aa.ī thī abhī

kaun ho sakta hai aane wala

ek aawaz si aai thi abhi

ham ko bhī sar koī darkār hai ab sar ke evaz

patthar ik ham bhī chalā dete haiñ patthar ke evaz

hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz

patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz

e'tirāf apne gunāhoñ maiñ kartā chalūñ

jaane kis kis ko mile merī sazā mere baad

e'tiraf apne gunahon ka main karta hi chalun

jaane kis kis ko mile meri saza mere baad

Recitation

Speak Now