Sher of Kumar Vishwas
jab se milā hai saath mujhe aap kā huzūr
sab ḳhvāb zindagī ke hamāre sañvar ga.e
jab se mila hai sath mujhe aap ka huzur
sab KHwab zindagi ke hamare sanwar gae
koī dīvāna kahtā hai koī pāgal samajhtā hai
magar dhartī kī bechainī ko bas bādal samajhtā hai
koi diwana kahta hai koi pagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai
aadmī honā ḳhudā hone se behtar kaam hai
ḳhud hī ḳhud ke ḳhvāb kī ta.abīr ban kar dekh le
aadmi hona KHuda hone se behtar kaam hai
KHud hi KHud ke KHwab ki tabir ban kar dekh le
mirā ḳhayāl tirī chuppi.on ko aatā hai
tirā ḳhayāl mirī hichkiyoñ ko aatā hai
mera KHayal teri chuppion ko aata hai
tera KHayal meri hichkiyon ko aata hai
jism chādar sā bichh gayā hogā
ruuh silvaT haTā rahī hogī
jism chadar sa bichh gaya hoga
ruh silwaT haTa rahi hogi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne hī aap se is tarah hue haiñ ruḳhsat
saañs ko chhoḌ diyā jis samt bhī jaanā chāhe
apne hi aap se is tarah hue hain ruKHsat
sans ko chhoD diya jis samt bhi jaana chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phir mirī yaad aa rahī hogī
phir vo dīpak bujhā rahī hogī
phir meri yaad aa rahi hogi
phir wo dipak bujha rahi hogi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāroñ taraf bikhar ga.iiñ sāñsoñ kī ḳhushbueñ
rāh-e-vafā meñ aap jahāñ bhī jidhar ga.e
chaaron taraf bikhar gain sanson ki KHushbuen
rah-e-wafa mein aap jahan bhi jidhar gae
dil ke tamām zaḳhm tirī haañ se bhar ga.e
jitne kaThin the rāste vo sab guzar ga.e
dil ke tamam zaKHm teri han se bhar gae
jitne kaThin the raste wo sab guzar gae
usī kī tarah mujhe saarā zamānā chāhe
vo mirā hone se zyāda mujhe paanā chāhe
usi ki tarah mujhe sara zamana chahe
wo mera hone se zyaada mujhe pana chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download