Sher of Madan Mohan Danish
ye nādānī nahīñ to kyā hai 'dānish'
samajhnā thā jise samjhā rahā huuñ
ye nadani nahin to kya hai 'danish'
samajhna tha jise samjha raha hun
ye hāsil hai mirī ḳhāmoshiyoñ kā
ki patthar āzmāne lag ga.e haiñ
ye hasil hai meri KHamoshiyon ka
ki patthar aazmane lag gae hain
zindagī se mohabbat karo TuuT kar
maut kā kaam dushvār karte raho
zindagi se mohabbat karo TuT kar
maut ka kaam dushwar karte raho
āsmāñ kī nazar se bachte hue
ik sitāra uThā liyā maiñ ne
aasman ki nazar se bachte hue
ek sitara uTha liya main ne
koī jab shahr se jaa.e to raunaq ruuTh jaatī hai
kisī kī shahr meñ maujūdgī se kuchh nahīñ hotā
koi jab shahr se jae to raunaq ruTh jati hai
kisi ki shahr mein maujudgi se kuchh nahin hota
idhar kyā kyā ajūbe ho rahe haiñ
marīz-e-ishq achchhe ho rahe haiñ
idhar kya kya ajube ho rahe hain
mariz-e-ishq achchhe ho rahe hain
mohabbat ratjage āvāragardī
zarūrī kaam saare ho rahe haiñ
mohabbat ratjage aawaragardi
zaruri kaam sare ho rahe hain
achchhī raunaq hai tumhārī bazm meñ
aa ga.e sab shahr ke barbād kyā
achchhi raunaq hai tumhaari bazm mein
aa gae sab shahr ke barbaad kya
jab apnī be-kalī se be-ḳhudī se kuchh nahīñ hotā
pukāreñ kyoñ kisī ko ham kisī se kuchh nahīñ hotā
jab apni be-kali se be-KHudi se kuchh nahin hota
pukaren kyon kisi ko hum kisi se kuchh nahin hota
ho ga.e phir tum kahīñ ābād kyā
hil ga.ī tanhā.ī kī buniyād kyā
ho gae phir tum kahin aabaad kya
hil gai tanhai ki buniyaad kya