Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manzoor Hashmi's Photo'

Manzoor Hashmi

1935 - 2008 | Aligarh, India

Sher of Manzoor Hashmi

7.7K
Favorite

SORT BY

qubūl kaise karūñ un faisla ki ye log

mire ḳhilāf merā bayān māñgte haiñ

qubul kaise karun un ka faisla ki ye log

mere KHilaf hi mera bayan mangte hain

yaqīn ho to koī rāsta nikaltā hai

havā oT bhī le kar charāġh jaltā hai

yaqin ho to koi rasta nikalta hai

hawa ki oT bhi le kar charagh jalta hai

sunā hai sachchī ho nīyat to raah khultī hai

chalo safar na kareñ kam se kam irāda kareñ

suna hai sachchi ho niyat to rah khulti hai

chalo safar na karen kam se kam irada karen

kabhī kabhī to kisī ajnabī ke milne par

bahut purānā koī silsila nikaltā hai

kabhi kabhi to kisi ajnabi ke milne par

bahut purana koi silsila nikalta hai

ik zamāna hai havāoñ taraf

maiñ charāġhoñ taraf ho jā.ūñ

ek zamana hai hawaon ki taraf

main charaghon ki taraf ho jaun

na.ī fazā ke parinde haiñ kitne matvāle

ki bāl-o-par se bhī pahle uḌaan māñgte haiñ

nai faza ke parinde hain kitne matwale

ki baal-o-par se bhi pahle uDan mangte hain

isī umiid pe barseñ guzār diiñ ham ne

vo kah gayā thā ki mausam palaT ke aate haiñ

isi umid pe barsen guzar din hum ne

wo kah gaya tha ki mausam palaT ke aate hain

hadaf bhī mujh ko banānā hai aur mere harīf

mujhī se tiir mujhī se kamān māñgte haiñ

hadaf bhi mujh ko banana hai aur mere harif

mujhi se tir mujhi se kaman mangte hain

tiis chālīs din to kaaT diye

aur kitne haiñ is mahīne meñ

tis chaalis din to kaT diye

aur kitne hain is mahine mein

na jaane us kahānī meñ kitne pahlū haiñ

ki jab suno to nayā vāqi.a nikaltā hai

na jaane us ki kahani mein kitne pahlu hain

ki jab suno to naya waqia nikalta hai

kuchh ab ke dhuup aisā mizāj bigḌā hai

daraḳht bhī to yahāñ sā.ebān māñgte haiñ

kuchh ab ke dhup ka aisa mizaj bigDa hai

daraKHt bhi to yahan saeban mangte hain

jitne us ke firāq meñ guzre

din vo shāmil kahāñ haiñ jiine meñ

jitne us ke firaq mein guzre

din wo shamil kahan hain jine mein

mom ke putle the ham aur garm hāthoñ meñ rahe

jis ne jo chāhā hameñ vaisā banā kar le gayā

mom ke putle the hum aur garm hathon mein rahe

jis ne jo chaha hamein waisa bana kar le gaya

paanī meñ zarā der ko halchal to huī thī

phir yuuñ thā ki jaise koī Duubā nahīñ thā

pani mein zara der ko halchal to hui thi

phir yun tha ki jaise koi Duba hi nahin tha

maiñ us ke baare meñ itnā ziyāda sochtā huuñ

ki ek roz use rū-ba-rū to honā hai

main us ke bare mein itna ziyaada sochta hun

ki ek roz use ru-ba-ru to hona hai

hamāre saath bhī chaltā hai rastā

hamāre ba.ad bhī rastā chalegā

hamare sath bhi chalta hai rasta

hamare baad bhi rasta chalega

patā nahīñ ki judā ho ke kaise zinda haiñ

hamārā us ta.alluq to jism-o-jān thā

pata nahin ki juda ho ke kaise zinda hain

hamara us ka talluq to jism-o-jaan ka tha

shiddat-e-shauq meñ kuchh itnā use yaad kiyā

ā.īna toḌ ke tasvīr nikal aa.ī hai

shiddat-e-shauq mein kuchh itna use yaad kiya

aaina toD ke taswir nikal aai hai

likkhe the safar paañv meñ kis tarah Thaharte

aur ye bhī ki tum ne to pukārā nahīñ thā

likkhe the safar panw mein kis tarah Thaharte

aur ye bhi ki tum ne to pukara hi nahin tha

zindagī kitnī hasīñ kitnī baḌī ne.amat hai

aah maiñ huuñ ki use ke bhī sharminda huuñ

zindagi kitni hasin kitni baDi neamat hai

aah main hun ki use pa ke bhi sharminda hun

chīḳh-o-pukār meñ to haiñ shāmil tamām log

kyā baat hai ye koī batā bhī nahīñ rahā

chiKH-o-pukar mein to hain shamil tamam log

kya baat hai ye koi bata bhi nahin raha

chalo lahū bhī charāġhoñ nazr kar deñge

ye shart hai ki vo phir raushnī ziyāda kareñ

chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge

ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen

ummīd o yaas rut aatī jaatī rahtī hai

magar yaqīn mausam nahīñ badaltā hai

ummid o yas ki rut aati jati rahti hai

magar yaqin ka mausam nahin badalta hai

jo apnī niiñd pūñjī bhī kab kho chukī haiñ

unhīñ āñkhoñ meñ ham ik ḳhvāb rakhnā chāhte haiñ

jo apni nind ki punji bhi kab ki kho chuki hain

unhin aankhon mein hum ek KHwab rakhna chahte hain

koī makīñ thā na mehmān aane vaalā thā

to phir kivāḌ khulā kis ke intizār meñ thā

koi makin tha na mehman aane wala tha

to phir kiwaD khula kis ke intizar mein tha

hamāre lafz ā.inda zamānoñ se ibārat haiñ

paḌhā jā.egā kal jo aaj vo tahrīr karte haiñ

hamare lafz aainda zamanon se ibarat hain

paDha jaega kal jo aaj wo tahrir karte hain

firāq bichhḌī huī ḳhushbuoñ sah na sakeñ

to phuul apnā badan paarā paarā karte haiñ

firaq bichhDi hui KHushbuon ka sah na saken

to phul apna badan para para karte hain

vo tiir chhoḌā huā to usī kamān thā

agarche haath kisī aur mehrbān thā

TRANSLATION

That arrow was, for sure, shot from that bow,

Whose hand it was, something I do not know.

Sagar Akbarabadi

wo tir chhoDa hua to usi kaman ka tha

agarche hath kisi aur mehrban ka tha

TRANSLATION

That arrow was, for sure, shot from that bow,

Whose hand it was, something I do not know.

Sagar Akbarabadi

shadīd garmī meñ pahle un ko nadī meñ nahlā diyā gayā

havā meñ phir giile bādaloñ ko jhaTak ke phailā diyā gayā

shadid garmi mein pahle un ko nadi mein nahla diya gaya

hawa mein phir gile baadalon ko jhaTak ke phaila diya gaya

Recitation

Speak Now