Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mashkoor Husain Yaad's Photo'

Mashkoor Husain Yaad

1925 - 2017 | Lahore, Pakistan

Sher of Mashkoor Husain Yaad

hamāre āsmāñ har sitāra sab pe raushan hai

kisī zaḳhm-e-mohabbat ko nihāñ ham ne nahīñ rakkhā

hamare aasman ka har sitara sab pe raushan hai

kisi zaKHm-e-mohabbat ko nihan hum ne nahin rakkha

umr guzrī safar ke pahlū meñ

ḳhuub se ḳhūb-tar ke pahlū meñ

umr guzri safar ke pahlu mein

KHub se KHub-tar ke pahlu mein

ḳhush na ho āñ.suoñ bārish par

barq hai chashm-e-tar ke pahlū meñ

KHush na ho aansuon ki barish par

barq hai chashm-e-tar ke pahlu mein

in ashkoñ dil se kyā ta.alluq

ye sho.ale jigar se aa rahe haiñ

in ashkon ka dil se kya talluq

ye shoale jigar se aa rahe hain

behtar hai ki ab ḳhud se judā ho ke bhī dekheñ

dariyā meñ to dariyā havāla nahīñ miltā

behtar hai ki ab KHud se juda ho ke bhi dekhen

dariya mein to dariya ka hawala nahin milta

aañsū aañsū jis ne dariyā paar kiye

qatra qatra aab meñ uljhā baiThā hai

aansu aansu jis ne dariya par kiye

qatra qatra aab mein uljha baiTha hai

naqāb uThāo to har shai ko pāoge sālim

ye kā.enāt ba-taur-e-hijāb TūTtī hai

naqab uThao to har shai ko paoge salim

ye kaenat ba-taur-e-hijab TuTti hai

aalā meñ to adnā ke havāle havāle

adnā meñ aalā havāla nahīñ miltā

aala mein to adna ke hawale hi hawale

adna hi mein aala ka hawala nahin milta

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now