Sher of Masroor Shahjahanpuri
kahāñ hai tāb-o-tāqat jis pe tum ko naaz rahtā thā
javānī par na tum 'masrūr' itrāte to achchhā thā
kahan hai tab-o-taqat jis pe tum ko naz rahta tha
jawani par na tum 'masrur' itraate to achchha tha
ḳhvāb jab se ik hasīna ke nazar aane lage
maulvī sāhab bhī beauty parlour jaane lage
KHwab jab se ek hasina ke nazar aane lage
maulwi sahab bhi beauty parlour jaane lage
muft kī pī kar kahī thī ek din ham ne ġhazal
sher uTh uTh kar chachā ġhālib se Takrāne lage
muft ki pi kar kahi thi ek din hum ne ghazal
sher uTh uTh kar chacha ghaalib se Takrane lage
marhūm shā'iroñ kā jo mil jaa.e kuchh kalām
sarqe kā le ke jaam chalo shā'irī kareñ
marhum sha'iron ka jo mil jae kuchh kalam
sarqe ka le ke jam chalo sha'iri karen
ga.e the bālTī bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaḌe apne kisī masjid se bhar laate to achchhā thā
gae the baalTi bharne pe un se ishq kar baiThe
ghaDe apne kisi masjid se bhar late to achchha tha
javānī un ko ghar meñ chain se rahne nahīñ detī
miyāñ 'masrūr' hī mujrim magar Thahrā.e jaate haiñ
jawani un ko ghar mein chain se rahne nahin deti
miyan 'masrur' hi mujrim magar Thahrae jate hain
ek bosa de ke vo bole maza aayā nahīñ
ek bose meñ rumūz-e-ishq khul jā.eñge kyā
ek bosa de ke wo bole maza aaya nahin
ek bose mein rumuz-e-ishq khul jaenge kya
vo na jaage ki zarā jāgtī taqdīr mirī
aur sab jaag uThe khaaT ke sarkāne se
wo na jage ki zara jagti taqdir meri
aur sab jag uThe khaT ke sarkane se
is buḌhāpe meñ lagāyā hai unhoñ ne surmā
baaz aate nahīñ vo ab bhī sitam Dhāne se
is buDhape mein lagaya hai unhon ne surma
baz aate nahin wo ab bhi sitam Dhane se
sasurāl meñ bhī daal kā galnā muhāl hai
saale haiñ be-lagām chalo shā'irī kareñ
sasural mein bhi dal ka galna muhaal hai
sale hain be-lagam chalo sha'iri karen
phir se vo yogā kī varzish kar rahe haiñ baam par
phir se laTh apne mohalle meñ vo chalvā.eñge kyā
phir se wo yoga ki warzish kar rahe hain baam par
phir se laTh apne mohalle mein wo chalwaenge kya
kahā thā doctor ne bach ke rahnā ḳhush-ḳhurākī se
magar tauba vo baiThe haiñ to ab tak khaa.e jaate haiñ
kaha tha doctor ne bach ke rahna KHush-KHuraki se
magar tauba wo baiThe hain to ab tak khae jate hain
ek bose ke liye itnā hameñ dauḌā.eñge
kyā ḳhabar thī vo qutub-mīnār par chaḌh jā.eñge
ek bose ke liye itna hamein dauDaenge
kya KHabar thi wo qutub-minar par chaDh jaenge