Sher of Meer Kallu Arsh
kyā ġhair kyā aziiz koī nauhagar na ho
ai jaan yuuñ nikal ki badan tak ḳhabar na ho
kya ghair kya aziz koi nauhagar na ho
ai jaan yun nikal ki badan tak KHabar na ho
sehhat hai maraz qazā shifā hai
allāh hakīm hai hamārā
sehhat hai maraz qaza shifa hai
allah hakim hai hamara
chashm-e-bātin meñ se jab zāhir kā parda uTh gayā
jo musalmāñ thā vahī hindū nazar aayā mujhe
chashm-e-baatin mein se jab zahir ka parda uTh gaya
jo musalman tha wahi hindu nazar aaya mujhe
nazar kisī ko vo mū-e-kamar nahīñ aatā
ba-rañg-e-tār-e-nazar hai nazar nahīñ aatā
nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata
ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata
-
Tag : Kamar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā diyā bosa lab-e-shīrīñ kā ho kar tursh-rū
muñh huā mīThā to kyā dil apnā khaTTā ho gayā
kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru
munh hua miTha to kya dil apna khaTTa ho gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
toḌ kar ka.abe ko masjid na banāo zāhid
ḳhāna-barbād kisī dil hī meñ kar ghar paidā
toD kar kabe ko masjid na banao zahid
KHana-barbaad kisi dil hi mein kar ghar paida
ḳhūn-e-ushshāq kā uThā biiḌā
be-sabab kab vo paan khātā hai
KHun-e-ushshaq ka uTha biDa
be-sabab kab wo pan khata hai
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ka.aba kā aur ḳhāna-e-dil kā ye haal hai
jaise koī makāñ ho makāñ ke javāb meñ
kaba ka aur KHana-e-dil ka ye haal hai
jaise koi makan ho makan ke jawab mein
gale meñ apne pahnā hai jo tū ne ai but-e-kāfir
mirī tasbīh ko hai rashk zunnār-e-barahman par
gale mein apne pahna hai jo tu ne ai but-e-kafir
meri tasbih ko hai rashk zunnar-e-barahman par
hasrat-e-dīd meñ āḳhir ko dam apnā ulTā
parda-e-chashm na us shoḳh ne apnā ulTā
hasrat-e-did mein aaKHir ko dam apna ulTa
parda-e-chashm na us shoKH ne apna ulTa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download