Misdaque Azmi
Ghazal 18
Nazm 7
Sher-o-Shayari 5
faqat milnā-milānā kam huā hai
hamārī dostī TuuTī nahīñ hai
faqat milna-milana kam hua hai
hamari dosti TuTi nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
ik tabassum kā bharam ābād hoñToñ par kiye
jī rahe haiñ log apnī apnī vīrānī ke saath
ek tabassum ka bharam aabaad honTon par kiye
ji rahe hain log apni apni virani ke sath
-
Share this
- See Ghazal
ai mire mūnis o ġham-ḳhvār mujhe marne de
baat ab hukm kī ta.amīl tak aa pahuñchī hai
ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de
baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai
-
Share this
- See Ghazal
ḳhushnumā manzar bhī sab dhundhle nazar aate haiñ yaar
jab diloñ meñ bhī utar jaatī hai sahrāoñ kī ḳhaak
KHushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar
jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak
-
Share this
- See Ghazal
ġhaar vāloñ kī tarah niklā hai vo kamre se aaj
us ko is duniyā kī tabdīlī kā andāza nahīñ
ghaar walon ki tarah nikla hai wo kamre se aaj
us ko is duniya ki tabdili ka andaza nahin
-
Share this
- See Ghazal
Qita 6
Nasri Nazm 1
Image Shayari 1
vaqt ke zaalim samundar me.n pareshaanii ke saath Duub jaataa hai ko.ii kyuu.n itnii aasaanii ke saath merii saa.nso.n kii mahak kaa bhii bahut charchaa hu.aa raat jab mai.n ne gizaarii raat kii raanii ke saath mai.n vahii huu.n aur meraa martaba mujh se buland naam apnaa le rahaa huu.n mai.n bhii hairaanii ke saath mai.n ne to kuchh aastii.n ke saa.np ginvaa.e the bas tum ne kyuu.n aa.nkhe.n milaa.ii hai.n pashemaanii ke saath karbalaa vaale agar hai.n mohtaram to mohtaram nosh mat jaam-e-shahaadat kiijiye paanii ke saath ik tabassum kaa bharam aabaad ho.nTo.n par kiye jii rahe hai.n log apnii apnii viiraanii ke saath mar gayaa 'misdaaq' bhii sultaan-Tiipuu kii tarah dekh kar hamraaz apnaa dushman-e-jaanii ke saath