Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Misdaque Azmi's Photo'

Misdaque Azmi

1973 | Azamgarh, India

Sher of Misdaque Azmi

faqat milnā-milānā kam huā hai

hamārī dostī TuuTī nahīñ hai

faqat milna-milana kam hua hai

hamari dosti TuTi nahin hai

ik tabassum bharam ābād hoñToñ par kiye

rahe haiñ log apnī apnī vīrānī ke saath

ek tabassum ka bharam aabaad honTon par kiye

ji rahe hain log apni apni virani ke sath

ai mire mūnis o ġham-ḳhvār mujhe marne de

baat ab hukm ta.amīl tak aa pahuñchī hai

ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de

baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai

ḳhushnumā manzar bhī sab dhundhle nazar aate haiñ yaar

jab diloñ meñ bhī utar jaatī hai sahrāoñ ḳhaak

KHushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar

jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak

ġhaar vāloñ tarah niklā hai vo kamre se aaj

us ko is duniyā tabdīlī andāza nahīñ

ghaar walon ki tarah nikla hai wo kamre se aaj

us ko is duniya ki tabdili ka andaza nahin

Recitation

Speak Now