Sher of Mohammad Ali Khan Rashki
dard-e-dil kyā bayāñ karūñ 'rashkī'
us ko kab e'tibār aatā hai
dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'
us ko kab e'tibar aata hai
ġhussa aatā hai pyaar aatā hai
ġhair ke ghar se yaar aatā hai
ghussa aata hai pyar aata hai
ghair ke ghar se yar aata hai
ye mansab-e-buland milā jis ko mil gayā
har mudda.ī ke vāste dār-o-rasan kahāñ
ye mansab-e-buland mila jis ko mil gaya
har muddai ke waste dar-o-rasan kahan
vo jo sharmā ga.e to un kī ḳhatā
apne zimme hameñ liye hī banī
wo jo sharma gae to un ki KHata
apne zimme hamein liye hi bani