Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Ali Sahil's Photo'

Mohammad Ali Sahil

1964 | Etawah, India

Sher of Mohammad Ali Sahil

2.6K
Favorite

SORT BY

duur rahtī haiñ sadā un se balā.eñ sāhil

apne maañ baap jo roz duā lete haiñ

dur rahti hain sada un se balaen sahil

apne man bap ki jo roz dua lete hain

ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai

apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā

KHamushi teri meri jaan liye leti hai

apni taswir se bahar tujhe aana hoga

ham haiñ tahzīb ke alam-bardār

ham ko urdu zabān aatī hai

hum hain tahzib ke alam-bardar

hum ko urdu zaban aati hai

mas.ale to zindagī meñ roz aate haiñ magar

zindagī ke mas.aloñ hal nikalnā chāhiye

masale to zindagi mein roz aate hain magar

zindagi ke masalon ka hal nikalna chahiye

merī āñkhoñ meñ hue raushan jo ashkoñ ke charāġh

un ke hoñToñ par tabassum diyā jaltā rahā

meri aankhon mein hue raushan jo ashkon ke charagh

un ke honTon par tabassum ka diya jalta raha

koī kartā hai jab hindostān baat a 'sāhil'

mujhe iqbāl qaumī tarāna yaad aatā hai

koi karta hai jab hindostan ki baat a 'sahil'

mujhe iqbaal ka qaumi tarana yaad aata hai

merī nīndeñ harām kyā hoñgī

ghar meñ rizq-e-halāl aatā hai

meri ninden haram kya hongi

ghar mein rizq-e-halal aata hai

marte dam tak sab mujh ko insān kaheñ

aisā kirdār mirā ho yā-allāh

marte dam tak sab mujh ko insan kahen

aisa hi kirdar mera ho ya-allah

sab ke hoñToñ pe vārdāt ke ba.ad

sirf merā naam hotā hai

sab ke honTon pe wardat ke baad

sirf mera hi nam hota hai

jo asāsa zindagī us ne joḌā umr bhar

maut sailāb jab aayā to sab kuchh bah gayā

jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar

maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya

vo yaqīnan valī sifat hogā

ḳhair se jo bhī shar meñ rahtā hai

wo yaqinan wali sifat hoga

KHair se jo bhi shar mein rahta hai

Recitation

Speak Now