Sher of Muneer Jafri
Tiis uTThī thī kahīñ zer-e-zamīñ aur idhar
shahr kā shahr makānoñ se nikal aaya thā
Tis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar
shahr ka shahr makanon se nikal aaya tha
-
Tag : Shahr
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mahv-e-safar huuñ ḳhitta-e-duniyā ke us taraf
aur ḳhud ko hoshiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
mahw-e-safar hun KHitta-e-duniya ke us taraf
aur KHud ko hoshiyar nahin kar raha hun main
dil par pahan liyā hai vo gajre ke jaisā shaḳhs
lekin gale kā haar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
dil par pahan liya hai wo gajre ke jaisa shaKHs
lekin gale ka haar nahin kar raha hun main
dil par pahan liyā hai vo gajre ke jaisā shaḳhs
lekin gale kā haar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
dil par pahan liya hai wo gajre ke jaisa shaKHs
lekin gale ka haar nahin kar raha hun main
ye vaqt kaifiyāt se bhartā nahīñ kabhī
ye jaam iḳhtiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye waqt kaifiyat se bharta nahin kabhi
ye jam iKHtiyar nahin kar raha hun main
āvāz ko ġhubār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
māhaul dāġh-dār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
aawaz ko ghubar nahin kar raha hun main
mahaul dagh-dar nahin kar raha hun main
dariyā se to muāhida tai pā gayā magar
kashtī kā e.atibār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
dariya se to muahida tai pa gaya magar
kashti ka eatibar nahin kar raha hun main
āvāz ko ġhubār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
māhaul dāġh-dār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
aawaz ko ghubar nahin kar raha hun main
mahaul dagh-dar nahin kar raha hun main
mujh ko faqat shajar kī numū se hai vāsta
sahrā ko sāya-dār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
mujh ko faqat shajar ki numu se hai wasta
sahra ko saya-dar nahin kar raha hun main
mujh ko faqat shajar kī numū se hai vāsta
sahrā ko sāya-dār nahīñ kar rahā huuñ
mujh ko faqat shajar ki numu se hai wasta
sahra ko saya-dar nahin kar raha hun
ye vaqt kaifiyāt se bhartā nahīñ kabhī
ye jaam iḳhtiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye waqt kaifiyat se bharta nahin kabhi
ye jam iKHtiyar nahin kar raha hun main
ye chal-chalāv maiñ ne diyā hai use 'munīr'
duniyā pe inhisār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye chal-chalaw main ne diya hai use 'munir'
duniya pe inhisar nahin kar raha hun main