Sher of Muzammil Abbas Shajar
ye kis liye ai zamāne tirī kare taqlīd
'shajar' kā rizq-e-suḳhan karbalā se aatā hai
ye kis liye ai zamane teri kare taqlid
'shajar' ka rizq-e-suKHan karbala se aata hai
ham ne bhī zulmatoñ ko miTāyā hai apne taur
sūraj ke saath saath hamārā diyā bhī hai
hum ne bhi zulmaton ko miTaya hai apne taur
suraj ke sath sath hamara diya bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
diyā diye kā ise tum ne naam hai yaaro
vagarna ye to mirī jhoñpaḌī kā sūraj hai
diya diye ka ise tum ne nam hai yaro
wagarna ye to meri jhonpaDi ka suraj hai
gadā-e-shāh-e-najaf huuñ so mere kaase se
jahāñ ko charḳh-e-suḳhan ke sabhī pate mileñge
gada-e-shah-e-najaf hun so mere kase se
jahan ko charKH-e-suKHan ke sabhi pate milenge
kaun le dād-e-masīhā.ī mire zaḳhmoñ se
aur hai kaun mire shahr meñ tere jaisā
kaun le dad-e-masihai mere zaKHmon se
aur hai kaun mere shahr mein tere jaisa