Sher of Muztar Haidri
ḳhulūs ho to kahīñ bandagī kī qaid nahīñ
sanam-kade meñ tavāf-e-haram bhī mumkin hai
KHulus ho to kahin bandagi ki qaid nahin
sanam-kade mein tawaf-e-haram bhi mumkin hai
koī bhī shakl mukammal kitāb ban na sakī
har ek chehra yahāñ iqtibās jaisā hai
koi bhi shakl mukammal kitab ban na saki
har ek chehra yahan iqtibas jaisa hai
mahfil meñ un kī khul gayā dil kā muāmla
palkoñ pe ashk rah ga.e piine ke ba.ad bhī
mahfil mein un ki khul gaya dil ka muamla
palkon pe ashk rah gae pine ke baad bhi
kal raat mire dil ne phir chupke se pūchhā hai
'muztar' tirī aahoñ meñ aa.egā asar kab tak
kal raat mere dil ne phir chupke se puchha hai
'muztar' teri aahon mein aaega asar kab tak
jhukī jhukī jo hai kaḌvī-kasīlī niim kī shāḳh
usī pe shahd kā chhatta dikhā.ī detā hai
jhuki jhuki jo hai kaDwi-kasili nim ki shaKH
usi pe shahd ka chhatta dikhai deta hai
haa.e be-chehragī ye insāñ kī
haa.e ye ādmī-numā kyā hai
hae be-chehragi ye insan ki
hae ye aadmi-numa kya hai
sañg-rezo ko haqārat se na Thukrā.iye aap
ḳhaak ke zarre bhī siine meñ sharar rakhte haiñ
sang-rezo ko haqarat se na Thukraiye aap
KHak ke zarre bhi sine mein sharar rakhte hain
ik Thes bhī halkī sī patthar se girāñ-tar hai
nāzuk hai ye dil itnā shīshe kā ho ghar jaise
ek Thes bhi halki si patthar se giran-tar hai
nazuk hai ye dil itna shishe ka ho ghar jaise
bahut qarīb hai 'muztar' vo zindagī kā nizām
nazar na aa.egā jab koī bismil o qātil
bahut qarib hai 'muztar' wo zindagi ka nizam
nazar na aaega jab koi bismil o qatil
jin ajnabī ḳhalāoñ se vāqif nahīñ koī
'muztar' unhīñ ḳhalāoñ kā sayyāra ham hue
jin ajnabi KHalaon se waqif nahin koi
'muztar' unhin KHalaon ka sayyara hum hue
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download