Sher of Nadir Shahjahanpuri
ba.ad marne ke bhī armān yahī hai ai dost
ruuh merī tire āġhosh-e-mohabbat meñ rahe
baad marne ke bhi arman yahi hai ai dost
ruh meri tere aaghosh-e-mohabbat mein rahe
kisī se phir maiñ kyā ummīd rakkhūñ
mirī ummīd to yārab tū hī hai
kisi se phir main kya ummid rakkhun
meri ummid to yarab tu hi hai
jo bhī de de vo karam se vahī le le 'nādir'
muñh se māñgo to ḳhudā aur ḳhafā hotā hai
jo bhi de de wo karam se wahi le le 'nadir'
munh se mango to KHuda aur KHafa hota hai
jal bujhūñgā bhaḌak ke dam bhar meñ
maiñ huuñ goyā diyā divālī kā
jal bujhunga bhaDak ke dam bhar mein
main hun goya diya diwali ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phuul khulte hī titlī bhī aa.ī
kyā koī dostī purānī hai
phul khulte hi titli bhi aai
kya koi dosti purani hai
tujhe dekhā tire jalvoñ ko dekhā
ḳhudā ko dekh kar ab kyā karūñgā
tujhe dekha tere jalwon ko dekha
KHuda ko dekh kar ab kya karunga
matlab kā zamāna hai 'nādir' koī kyā degā
mujh soḳhta-e-qismat ko degā to ḳhudā degā
matlab ka zamana hai 'nadir' koi kya dega
mujh soKHta-e-qismat ko dega to KHuda dega
bhare rahte haiñ ashk āñkhoñ meñ har dam
mirī har saañs meñ ab ġham kī bū hai
bhare rahte hain ashk aankhon mein har dam
meri har sans mein ab gham ki bu hai
tū hī vo phuul hai jo hai mahbūb
patte patte kā Daalī Daalī kā
tu hi wo phul hai jo hai mahbub
patte patte ka Dali Dali ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pattharoñ pe naam likhtā huuñ tirā
dekh tū o but mirī dīvāngī
pattharon pe nam likhta hun tera
dekh tu o but meri diwangi
nañg hai rāz-e-mohabbat kā numāyāñ honā
mar bhī jā.ūñ maiñ agar tum na pareshāñ honā
nang hai raaz-e-mohabbat ka numayan hona
mar bhi jaun main agar tum na pareshan hona
insān ke dil ko hī koī saaz nahīñ hai
kis parde meñ varna tirī āvāz nahīñ hai
insan ke dil ko hi koi saz nahin hai
kis parde mein warna teri aawaz nahin hai
rahmat-e-haq ko na kar māyūs apne fe.al se
vo bhalā.ī meñ nahīñ jo hai burā.ī meñ mazā
rahmat-e-haq ko na kar mayus apne feal se
wo bhalai mein nahin jo hai burai mein maza
ham dil fidā kareñ ki tasadduq-e-jigar kareñ
jo bhī kaheñ huzūr vahī umr bhar kareñ
TRANSLATION
Do I sacrifice my heart,or love?To thee both belong,
Whatever thou sayeth, I shall do it for life long.
Sagar Akbarabadi
hum dil fida karen ki tasadduq-e-jigar karen
jo bhi kahen huzur wahi umr bhar karen
TRANSLATION
Do I sacrifice my heart,or love?To thee both belong,
Whatever thou sayeth, I shall do it for life long.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download