Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Naseem Shahjahanpuri's Photo'

Naseem Shahjahanpuri

1937 | Shahjahanpur, India

Sher of Naseem Shahjahanpuri

tanhā.ī ke lamhāt ehsās huā hai

jab tāroñ bharī raat ehsās huā hai

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

jab taron bhari raat ka ehsas hua hai

vo zulm bhī ab zulm had tak nahīñ karte

āḳhir unheñ kis baat ehsās huā hai

wo zulm bhi ab zulm ki had tak nahin karte

aaKHir unhen kis baat ka ehsas hua hai

sar-e-mahshar agar pursish huī mujh se to kah dūñgā

sarāpā jurm huuñ ashk-e-nadāmat le ke aayā huuñ

sar-e-mahshar agar pursish hui mujh se to kah dunga

sarapa jurm hun ashk-e-nadamat le ke aaya hun

maiñ ne maanā aap ne sab kuchh bhulā Daalā magar

ġhair-mumkin hai kabhī merā ḳhayāl aatā na ho

main ne mana aap ne sab kuchh bhula Dala magar

ghair-mumkin hai kabhi mera KHayal aata na ho

kuchh ḳhud bhī huuñ maiñ ishq meñ afsurda o ġhamgīñ

kuchh talḳhi-e-hālāt ehsās huā hai

kuchh KHud bhi hun main ishq mein afsurda o ghamgin

kuchh talKHi-e-haalat ka ehsas hua hai

kisī ke ishq meñ ye hāl-e-zār rahtā hai

sukūn ke bhī dil be-qarār rahtā hai

TRANSLATION

In someone’s love, woeful time prevails,

Even after solace, uneasy heart remains.

Sagar Akbarabadi

kisi ke ishq mein ye haal-e-zar rahta hai

sukun pa ke bhi dil be-qarar rahta hai

TRANSLATION

In someone’s love, woeful time prevails,

Even after solace, uneasy heart remains.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now