Sher of Natiq Lakhnavi
kah rahā hai shor-e-dariyā se samundar kā sukūt
jis kā jitnā zarf hai utnā hī vo ḳhāmosh hai
the river's raging is advised by the tranquil sea
the greater power you possess, the quieter you be
kah raha hai shor-e-dariya se samundar ka sukut
jis ka jitna zarf hai utna hi wo KHamosh hai
the river's raging is advised by the tranquil sea
the greater power you possess, the quieter you be
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ai sham.a tujh pe raat ye bhārī hai jis tarah
maiñ ne tamām umr guzārī hai is tarah
ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
main ne tamam umr guzari hai is tarah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar kī
yuuñ zindagī ham ne tirī duurī meñ basar kī
mar mar ke agar sham to ro ro ke sahar ki
yun zindagi hum ne teri duri mein basar ki
ibtidā se aaj tak 'nātiq' kī ye hai sarguzisht
pahle chup thā phir huā dīvāna ab behosh hai
ibtida se aaj tak 'natiq' ki ye hai sarguzisht
pahle chup tha phir hua diwana ab behosh hai
āzādiyoñ kā haq na adā ham se ho sakā
anjām ye huā ki giraftār ho ga.e
aazadiyon ka haq na ada hum se ho saka
anjam ye hua ki giraftar ho gae
dil hai kis kā jis meñ armāñ aap kā rahtā nahīñ
farq itnā hai ki sab kahte haiñ maiñ kahtā nahīñ
dil hai kis ka jis mein arman aap ka rahta nahin
farq itna hai ki sab kahte hain main kahta nahin
dil rahe yā na rahe zaḳhm bhare yā na bhare
chārasāzoñ kī ḳhushāmad mujhe manzūr nahīñ
dil rahe ya na rahe zaKHm bhare ya na bhare
chaarasazon ki KHushamad mujhe manzur nahin
mai-kasho mai kī kamī beshī pe nāhaq josh hai
ye to saaqī jāntā hai kis ko kitnā hosh hai
ye who drink, needlessly, argue about the quantity
the maiden knows as she pours, each person's sobriety
mai-kasho mai ki kami beshi pe nahaq josh hai
ye to saqi jaanta hai kis ko kitna hosh hai
ye who drink, needlessly, argue about the quantity
the maiden knows as she pours, each person's sobriety
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ik dāġh-e-dil ne mujh ko diye be-shumār daaġh
paidā hue hazār charāġh is charāġh se
ek dagh-e-dil ne mujh ko diye be-shumar dagh
paida hue hazar charagh is charagh se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
do aalam se guzar ke bhī dil-e-āshiq hai āvāra
abhī tak ye musāfir apnī manzil par nahīñ aayā
do aalam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara
abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya
un ke lab par zikr aayā be-hijābāna merā
manzil-e-takmīl tak pahuñchā ab afsāna merā
un ke lab par zikr aaya be-hijabana mera
manzil-e-takmil tak pahuncha ab afsana mera
mohabbat-āshnā dil maz.hab-o-millat ko kyā jaane
huī raushan jahāñ bhī sham.a parvāna vahīñ aayā
mohabbat-ashna dil mazhab-o-millat ko kya jaane
hui raushan jahan bhi shama parwana wahin aaya
mirī jānib se un ke dil meñ kis shikve pe kiina hai
vo shikva jo zabāñ par kyā abhī dil meñ nahīñ aayā
meri jaanib se un ke dil mein kis shikwe pe kina hai
wo shikwa jo zaban par kya abhi dil mein nahin aaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sadqe tere hote haiñ sūraj bhī sitāre bhī
ham kis se kaheñ dil hai siine meñ hamāre bhī
TRANSLATION
The Sun as well as the stars, give themselves for you,
To whom do I say that in my chest, I’ve got a heart too.
Sagar Akbarabadi
sadqe tere hote hain suraj bhi sitare bhi
hum kis se kahen dil hai sine mein hamare bhi
TRANSLATION
The Sun as well as the stars, give themselves for you,
To whom do I say that in my chest, I’ve got a heart too.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download