Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Navin Joshi's Photo'

Navin Joshi

1967 | Mumbai, India

Navin Joshi

Ghazal 51

Sher-o-Shayari 20

us ke maañ baap nahīñ haiñ shāyad

varna us meñ kahīñ bachcha hotā

us ke man bap nahin hain shayad

warna us mein kahin bachcha hota

  • Share this

vo niiñd milī hai ki jo puurī nahīñ hotī

vo ḳhvāb milā hai ki jo ma.azūr huā hai

wo nind mili hai ki jo puri nahin hoti

wo KHwab mila hai ki jo mazur hua hai

baḳhsh mujh ko na adhūrī koī ne.amat maulā

to dariyā de puurā to sahrā saarā

baKHsh mujh ko na adhuri koi neamat maula

ya to dariya hi de pura ya to sahra sara

is dafa to zindagī jaldī meñ thī

kah do aglī baar fursat meñ mile

is dafa to zindagi jaldi mein thi

kah do agli bar fursat mein mile

ranj yuuñ rāh-e-masāfat meñ mile

kuchh kamā.e kuchh virāsat meñ mile

ranj yun rah-e-masafat mein mile

kuchh kamae kuchh wirasat mein mile

  • Share this

Qita 23

More Poets From "Mumbai"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now