Sher of Nawab Ahsan
bikhre hue ḳhvāboñ kī vo tasvīr hai shāyad
ab ye bhī nahīñ yaad kahāñ us se milā thā
bikhre hue KHwabon ki wo taswir hai shayad
ab ye bhi nahin yaad kahan us se mila tha
shab-e-firāq kī tanhā.iyoñ meñ terā ḳhayāl
mire vajūd se kartā rahā judā mujh ko
shab-e-firaq ki tanhaiyon mein tera KHayal
mere wajud se karta raha juda mujh ko
ḳhauf-o-dahshat se lab nahīñ khulte
varna qātil mirī nigāh meñ hai
KHauf-o-dahshat se lab nahin khulte
warna qatil meri nigah mein hai
jab bhī lauTā gaañv ke bāzār se
mujh ko sab bachchoñ ne dekhā pyaar se
jab bhi lauTa ganw ke bazar se
mujh ko sab bachchon ne dekha pyar se
ehsās-e-tīrgī thā use raushnī ke ba.ad
is ḳhauf se charāġh kī lau kāñptī rahī
ehsas-e-tirgi tha use raushni ke baad
is KHauf se charagh ki lau kanpti rahi
us ne to chhīnā thā mere jism se merā libās
jab pahan kar us ne dekhā to qabā Dhīlī milī
us ne to chhina tha mere jism se mera libas
jab pahan kar us ne dekha to qaba Dhili mili