Sher of Neel Ahmed
dil kī udāsiyoñ kā koī sabab nahīñ hai
bas ye sabab hai mere dil kī udāsiyoñ kā
dil ki udasiyon ka koi sabab nahin hai
bas ye sabab hai mere dil ki udasiyon ka
jab jab tum ko yaad kareñ ham
tab tab bārish ho jaatī hai
jab jab tum ko yaad karen hum
tab tab barish ho jati hai
zindagī se mile hue ho tum
vo bhī mujh se mazāq kartī hai
zindagi se mile hue ho tum
wo bhi mujh se mazaq karti hai
havā kā rañg nahīñ hai magar mizāj to hai
havā se dostī karnā koī mazāq nahīñ
hawa ka rang nahin hai magar mizaj to hai
hawa se dosti karna koi mazaq nahin
kisī ko yaad karne ke nahīñ maḳhsūs kuchh lamhe
koī jab yaad aa jaa.e to phir vo yaad aatā hai
kisi ko yaad karne ke nahin maKHsus kuchh lamhe
koi jab yaad aa jae to phir wo yaad aata hai
mire siine se lag kar der tak rotī hai tanhā.ī
kisī ne kah diyā us se mohabbat ho ga.ī mujh ko
mere sine se lag kar der tak roti hai tanhai
kisi ne kah diya us se mohabbat ho gai mujh ko
aur phir mohabbat meñ jī ke mar ke dekhā hai
log sochte haiñ jo ham ne kar ke dekhā hai
aur phir mohabbat mein ji ke mar ke dekha hai
log sochte hain jo hum ne kar ke dekha hai
apnī āñkheñ nahīñ jalā.ūñgī
maiñ ne bujhte charāġh dekhe haiñ
apni aankhen nahin jalaungi
main ne bujhte charagh dekhe hain
apnī āñkhoñ ko noch Daalā hai
tum ko paane ke ḳhvāb buntī haiñ
apni aankhon ko noch Dala hai
tum ko pane ke KHwab bunti hain
kitne aalam guzar ga.e mujh par
tum ko sochā thā ek lamhe ko
kitne aalam guzar gae mujh par
tum ko socha tha ek lamhe ko
siine se dil nikāl ke hāthoñ pe rakh diyā
maiñ ne to bas kahā thā ki dhaḌkan kā shor hai
sine se dil nikal ke hathon pe rakh diya
main ne to bas kaha tha ki dhaDkan ka shor hai
qaid kar lo mujhe ḳhayāloñ meñ
is jahāñ se rihā.ī mil jaa.e
qaid kar lo mujhe KHayalon mein
is jahan se rihai mil jae
sukūt-e-shahr-e-dil kī bebasī ko bhī koī samjhe
ḳhāmushī boltī hai to bhalā kyā kyā nahīñ kahtī
sukut-e-shahr-e-dil ki bebasi ko bhi koi samjhe
KHamushi bolti hai to bhala kya kya nahin kahti
saare jazbe tirī chāhat ke dikhā.ī dete
kaash āñkhoñ meñ kahīñ dil bhī dhaḌaktā hotā
sare jazbe teri chahat ke dikhai dete
kash aankhon mein kahin dil bhi dhaDakta hota
phūloñ kī zad meñ aa ke kahīñ jaan se na jaa.e
maiñ ne isī ḳhayāl se titlī uḌaa.ī hai
phulon ki zad mein aa ke kahin jaan se na jae
main ne isi KHayal se titli uDai hai
ye muḳhtasar sī shikan kyā batā.egī tum ko
mire vajūd meñ gahrī ka.ī ḳharāsheñ haiñ
ye muKHtasar si shikan kya bataegi tum ko
mere wajud mein gahri kai KHarashen hain
ḳhud-farebī rahe to achchhā hai
ḳhud-shanāsī tabāh kar degī
KHud-farebi rahe to achchha hai
KHud-shanasi tabah kar degi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ jal ga.ī huuñ dhuup kī kirnoñ se jā-ba-jā
aur vo samajh rahe haiñ ki rañgat nikhar ga.ī
main jal gai hun dhup ki kirnon se ja-ba-ja
aur wo samajh rahe hain ki rangat nikhar gai
siine se dil nikāl ke hāthoñ pe rakh diyā
maiñ ne to bas kahā thā ki dhaḌkan kā shor hai
sine se dil nikal ke hathon pe rakh diya
main ne to bas kaha tha ki dhaDkan ka shor hai
tum ko khoyā thā ek laġhzish meñ
umr saarī kaTī hai gardish meñ
tum ko khoya tha ek laghzish mein
umr sari kaTi hai gardish mein
yuuñ to mohabbatoñ meñ baḌī qurbateñ rahīñ
lekin jo dil se pūchho to ḳhalvat kamā.ī hai
yun to mohabbaton mein baDi qurbaten rahin
lekin jo dil se puchho to KHalwat kamai hai
saare jazbe tirī chāhat ke dikhā.ī dete
kaash āñkhoñ meñ kahīñ dil bhī dhaḌaktā hotā
sare jazbe teri chahat ke dikhai dete
kash aankhon mein kahin dil bhi dhaDakta hota
-
Tag : Valentine's Day