Sher of Neelma Naheed Durrani
aurat apnā aap bachā.e tab bhī mujrim hotī hai
aurat apnā aap gañvā.e tab bhī mujrim hotī hai
aurat apna aap bachae tab bhi mujrim hoti hai
aurat apna aap ganwae tab bhi mujrim hoti hai
koī to aa.e ḳhizāñ meñ patte ugāne vaalā
guloñ kī ḳhushbū ko qaid karnā koī to sīkhe
koi to aae KHizan mein patte ugane wala
gulon ki KHushbu ko qaid karna koi to sikhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shabnam tumhāre sahn meñ roī tamām raat
lekin har ek phuul kā chehra nikhar gayā
shabnam tumhaare sahn mein roi tamam raat
lekin har ek phul ka chehra nikhar gaya
maiñ ne sūraj chāñd sitāre tere naam likhe haiñ
jag meñ jitne phuul haiñ saare tere naam likhe haiñ
main ne suraj chand sitare tere nam likhe hain
jag mein jitne phul hain sare tere nam likhe hain
mohabbat kī hameñ fursat nahīñ thī
jamāl-e-yār ne chauñkā diyā thā
mohabbat ki hamein fursat nahin thi
jamal-e-yar ne chaunka diya tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham apne aap meñ gum jā rahe the
kisī guftār ne chauñkā diyā thā
hum apne aap mein gum ja rahe the
kisi guftar ne chaunka diya tha