Sher of Owais Ahmad Dauran
shāyad kisī kī yaad kā mausam phir aa gayā
pahlū meñ dil kī tarah dhaḌakne lagī hai shaam
shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya
pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai sham
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh dard ke maare haiñ kuchh naaz ke haiñ paale
kuchh log haiñ ham jaise kuchh log haiñ tum jaise
kuchh dard ke mare hain kuchh naz ke hain pale
kuchh log hain hum jaise kuchh log hain tum jaise
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahtī nahīñ hai mard kī ā.ankhoñ se jū-e-ashk
lekin hameñ batāo ki ham kis liye hañseñ
bahti nahin hai mard ki aaankhon se ju-e-ashk
lekin hamein batao ki hum kis liye hansen
ye sehn-e-gulistāñ nahīñ maqtal hai rafīqo!
har shāḳh hai talvār yahāñ, jāgte rahnā
ye sehn-e-gulistan nahin maqtal hai rafiqo!
har shaKH hai talwar yahan, jagte rahna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un makānoñ meñ bhī insān hī rahte hoñge
raunaqeñ jin meñ nahīñ aap kī mahfil kī sī
un makanon mein bhi insan hi rahte honge
raunaqen jin mein nahin aap ki mahfil ki si
paivand kī tarah nazar aatā hai bad-numā
puḳhta makān kachche gharoñ ke hujūm meñ
paiwand ki tarah nazar aata hai bad-numa
puKHta makan kachche gharon ke hujum mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab mastiyoñ meñ pheñko na patthar idhar udhar
dīvāno! is dayār meñ shīshe ke ghar bhī haiñ
sab mastiyon mein phenko na patthar idhar udhar
diwano! is dayar mein shishe ke ghar bhi hain
aisā na ho ye raat koī hashr uThā de
uThtā hai sitāroñ se dhuāñ jāgte rahnā
aisa na ho ye raat koi hashr uTha de
uThta hai sitaron se dhuan jagte rahna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham shā.er-e-hayāt haiñ ham shā.er-e-hayāt!
'daurāñ' vo surḳh rañg kā parcham to do hameñ
hum shaer-e-hayat hain hum shaer-e-hayat!
'dauran' wo surKH rang ka parcham to do hamein
vo lahū pī kar baḌe andāz se kahtā hai ye
ġham kā har tūfān us ke ghar ke bāhar aa.egā
wo lahu pi kar baDe andaz se kahta hai ye
gham ka har tufan us ke ghar ke bahar aaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-dāroñ kī duniyā kabhī luTtī nahīñ 'daurāñ'
ik sham.a liye tum bhī yahāñ jāgte rahnā
be-daron ki duniya kabhi luTti nahin 'dauran'
ek shama liye tum bhi yahan jagte rahna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ziist ki hai phuul sī miT jaa.e balā se
gulchīñ se magar bar-sar-e-paikār hī rahiye
ye zist ki hai phul si miT jae bala se
gulchin se magar bar-sar-e-paikar hi rahiye