Sher of Parveen Kumar Ashk
phaldār thā to gaañv use pūjtā rahā
sūkhā to qatl ho gayā vo be-zabāñ daraḳht
phaldar tha to ganw use pujta raha
sukha to qatl ho gaya wo be-zaban daraKHt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zamīñ ko ai ḳhudā vo zalzala de
nishāñ tak sarhadoñ ke jo miTā de
zamin ko ai KHuda wo zalzala de
nishan tak sarhadon ke jo miTa de
kisī kisī ko thamātā hai chābiyāñ ghar kī
ḳhudā har ek ko apnā pata nahīñ detā
kisi kisi ko thamata hai chabiyan ghar ki
KHuda har ek ko apna pata nahin deta
haveliyāñ bhī haiñ kāreñ bhī kār-ḳhāne bhī
bas aadmī kī kamī dekhtā huuñ shahroñ meñ
haweliyan bhi hain karen bhi kar-KHane bhi
bas aadmi ki kami dekhta hun shahron mein
samundar aañkh se ojhal zarā nahīñ hotā
nadī ko Dar kisī chaTTān kā nahīñ hotā
TRANSLATION
Not even for a moment, the sight of ocean is lost,
River is unafraid of obstacles, any boulder may host.
Sagar Akbarabadi
samundar aankh se ojhal zara nahin hota
nadi ko Dar kisi chaTTan ka nahin hota
TRANSLATION
Not even for a moment, the sight of ocean is lost,
River is unafraid of obstacles, any boulder may host.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download