Sher of Poonam Meera
mujh meñ kyā mere sivā aur bhī rahtā hai koī
maiñ to so jaatī huuñ phir ḳhvāb kise dikhte haiñ
mujh mein kya mere siwa aur bhi rahta hai koi
main to so jati hun phir KHwab kise dikhte hain
dasht āñkhoñ meñ thā āvāz meñ vīrānī thī
khā gayā shahr use kahte haiñ dīvānī thī
dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
kha gaya shahr use kahte hain diwani thi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āsmānoñ ke khule baab kise dikhte haiñ
chashm-e-pur-āb ke girdāb kise dikhte haiñ
aasmanon ke khule bab kise dikhte hain
chashm-e-pur-ab ke girdab kise dikhte hain