Sher of Rahi Fidai
har ek shāḳh thī larzāñ fazā meñ chīḳh-o-pukār
havā ke haath meñ ik āb-dār ḳhanjar thā
har ek shaKH thi larzan faza mein chiKH-o-pukar
hawa ke hath mein ek aab-dar KHanjar tha
lazzat kā zahr vaqt-e-sahr chhoḌ kar koī
shab ke tamām rishte farāmosh kar gayā
lazzat ka zahr waqt-e-sahr chhoD kar koi
shab ke tamam rishte faramosh kar gaya
havas-girafta havāo nigāheñ nīchī rakho
shajar khaḌe haiñ saḌak ke qarīn be-parda
hawas-girafta hawao nigahen nichi rakho
shajar khaDe hain saDak ke qarin be-parda
kisī ko saayā kisī ko gul-o-samar degā
harā-bharā hai daraḳht-e-rivāj rahne do
kisi ko saya kisi ko gul-o-samar dega
hara-bhara hai daraKHt-e-riwaj rahne do
sabza-zāroñ kī sharāfat se na khelo qat.an
tum havā ho to ḳhalāoñ se lipaT kar dekho
sabza-zaron ki sharafat se na khelo qatan
tum hawa ho to KHalaon se lipaT kar dekho
ye kaisā gul khilāyā hai shajar ne
samar banñe ko ġhuncha muntazir hai
ye kaisa gul khilaya hai shajar ne
samar banne ko ghuncha muntazir hai
barā.e-nām hī sahī ba-ehtiyāt kījiye
darūn-e-kizb-o-iftirā sadāqateñ ḳhalat-malat
barae-nam hi sahi ba-ehtiyat kijiye
darun-e-kizb-o-iftira sadaqaten KHalat-malat
hādsoñ ke ḳhauf se ehsās kī had meñ na thā
varna nafs-e-mutma.in saffāk hotā ġhāliban
hadson ke KHauf se ehsas ki had mein na tha
warna nafs-e-mutmain saffak hota ghaaliban
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap ne achchhā kiyā tathīr-e-ḳhvāhish hī na kī
varna zamzam chashma-e-nāpāk hotā ġhāliban
aap ne achchha kiya tathir-e-KHwahish hi na ki
warna zamzam chashma-e-napak hota ghaaliban
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sharāfatoñ ke rang meñ sharārteñ ḳhalat-malat
sar-mazāq ho ga.iiñ himāqateñ ḳhalat-malat
sharafaton ke rang mein shararten KHalat-malat
sar-mazaq ho gain himaqaten KHalat-malat
ḳhud ko mumtāz banāne kī dilī-ḳhvāhish meñ
dushman-e-jāñ se milī merī anā sāzish meñ
TRANSLATION
Driven by a veiled desire to make himself supreme,
My ego has conspired with the enemy of its being.
Sagar Akbarabadi
KHud ko mumtaz banane ki dili-KHwahish mein
dushman-e-jaan se mili meri ana sazish mein
TRANSLATION
Driven by a veiled desire to make himself supreme,
My ego has conspired with the enemy of its being.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download