Sher of Raja Mehdi Ali Khan
kis kī ā.ankhoñ se girā hai ye
ye samundar hai baḌā sā aañsū
kis ki aaankhon se gira hai ye
ye samundar hai baDa sa aansu
pahle ham ko bahan kahā ab fikr hamīñ se shādī kī
ye bhī na sochā bahan se shādī kar ke kyā kahlā.eñge
pahle hum ko bahan kaha ab fikr hamin se shadi ki
ye bhi na socha bahan se shadi kar ke kya kahlaenge
uḌā letī haiñ sab naqadī talāshī jeb kī le kar
ham apnī hī kamā.ī un se Dar Dar ke chhupāte haiñ
uDa leti hain sab naqadi talashi jeb ki le kar
hum apni hi kamai un se Dar Dar ke chhupate hain
jab apnā dukh sunā.ūñ qamar ke pidar ko maiñ
kahte haiñ dekh aag lagā dūñgā ghar ko maiñ
jab apna dukh sunaun qamar ke pidar ko main
kahte hain dekh aag laga dunga ghar ko main
vo sab aa ke iz.hār-e-mātam kareñge
vo baiThak meñ ro.eñge chaa.e piyeñge
wo sab aa ke izhaar-e-matam karenge
wo baiThak mein roenge chae piyenge
kar liije 'raziya' se mohabbat ham par kiije nazr-e-karam
vo be-chārī phañs jā.egī ham us ko samjhā.eñge
kar lije 'raziya' se mohabbat hum par kije nazr-e-karam
wo be-chaari phans jaegi hum us ko samjhaenge
'zauq' kitne ruupe kamātā thā
apnī biivī se kyuuñ chhupātā thā
'zauq' kitne rupe kamata tha
apni biwi se kyun chhupata tha
maiñ tum pe huuñ 'jāñ-nisār-aḳhtar' qasam hai 'munshī-fidā-alī' kī
bahut dinoñ se maiñ tum pe 'sāhir' se jaadū Tone karā rahā huuñ
main tum pe hun 'jaan-nisar-aKHtar' qasam hai 'munshi-fida-ali' ki
bahut dinon se main tum pe 'sahir' se jadu Tone kara raha hun
agar ho tum 'hājara' to phir mujh se mil ke 'masrūr' kyuuñ nahīñ ho
tumhāre aage 'opendr-nāth-ashk' ban ke aañsū bahā rahā huuñ
agar ho tum 'hajara' to phir mujh se mil ke 'masrur' kyun nahin ho
tumhaare aage 'opendr-nath-ashk' ban ke aansu baha raha hun
burī burī nazreñ chehre par Daal rahe haiñ uf tauba
ham apne donoñ gāloñ ko jā ke abhī dho ā.eñge
buri buri nazren chehre par Dal rahe hain uf tauba
hum apne donon galon ko ja ke abhi dho aaenge
billū ko chup karā.ūñ ki mārūñ qamar ko maiñ
farsh-e-zamīn dho.ūñ ki māñjūñ kukar ko maiñ
billu ko chup karaun ki marun qamar ko main
farsh-e-zamin dhoun ki manjun kukar ko main
ḳhudāyā aaj ke shauhar haiñ yā māsūm bachche haiñ
zarā sā ghuur le biivī to jhaT ye saham jaate haiñ
KHudaya aaj ke shauhar hain ya masum bachche hain
zara sa ghur le biwi to jhaT ye saham jate hain
sheroñ kī tarah TuuT paḌe aa ke mez par
jo chiiz bhī milī vo chabāte chale ga.e
sheron ki tarah TuT paDe aa ke mez par
jo chiz bhi mili wo chabaate chale gae
bismillāh are-vāh maiñ qurbān maiñ qurbān
kyā ḳhuub lagī hai kamand allāh tirī shaan
bismillah are-wah main qurban main qurban
kya KHub lagi hai kamand allah teri shan