Ranjoor Azimabadi
Ghazal 5
Sher-o-Shayari 6
mujh ko kaafī hai bas ik terā muāfiq honā
saarī duniyā bhī muḳhālif ho to kyā hotā hai
mujh ko kafi hai bas ek tera muafiq hona
sari duniya bhi muKHalif ho to kya hota hai
- Add to favorites
-
Share this
butoñ meñ kis balā kī hai kashish allāh hī jaane
chale the shauq-e-ka.aba meñ sanam-ḳhāne meñ jā nikle
buton mein kis bala ki hai kashish allah hi jaane
chale the shauq-e-kaba mein sanam-KHane mein ja nikle
- Add to favorites
-
Share this
dikhā kar zahr kī shīshī kahā 'ranjūr' se us ne
ajab kyā terī bīmārī kī ye hakmī davā nikle
dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne
ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
agar chilman ke bāhar vo but-e-kāfir-adā nikle
zabān-e-shaiḳh se salle-alā salle-alā nikle
agar chilman ke bahar wo but-e-kafir-ada nikle
zaban-e-shaiKH se salle-ala salle-ala nikle
- Add to favorites
-
Share this
detā hai mujh ko charḳh-e-kuhan baar baar daaġh
uf ek merā siina hai us par hazār daaġh
deta hai mujh ko charKH-e-kuhan bar bar dagh
uf ek mera sina hai us par hazar dagh
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal