Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Raza Hamdani's Photo'

Raza Hamdani

1910 - 1999 | Peshawar, Pakistan

Sher of Raza Hamdani

ta.ana dete ho mujhe jiine

zindagī merī ḳhatā ho jaise

tana dete ho mujhe jine ka

zindagi meri KHata ho jaise

goyā the to koī bhī nahīñ thā

ab chup haiñ to shahr dekhtā hai

goya the to koi bhi nahin tha

ab chup hain to shahr dekhta hai

qurbat tirī kis ko raas aa.ī

ā.īne meñ aks kāñptā hai

qurbat teri kis ko ras aai

aaine mein aks kanpta hai

ajab chiiz hai ye mohabbat baazī

jo haare vo jiite jo jiite vo haare

ajab chiz hai ye mohabbat ki bazi

jo haare wo jite jo jite wo haare

bhañvar se laḌo tund lahroñ se uljho

kahāñ tak chaloge kināre kināre

bhanwar se laDo tund lahron se uljho

kahan tak chaloge kinare kinare

pās-e-ādāb-e-vafā thā ki shikasta-pā.ī

be-ḳhudī meñ bhī na ham had se guzarne paa.e

pas-e-adab-e-wafa tha ki shikasta-pai

be-KHudi mein bhi na hum had se guzarne pae

ik baar jo TuuTe to kabhī juḌ nahīñ saktā

ā.īna nahīñ dil magar ā.īna-numā hai

ek bar jo TuTe to kabhi juD nahin sakta

aaina nahin dil magar aaina-numa hai

bikhar gayā huuñ fazāoñ meñ bū-e-gul tarah

mire vajūd meñ vus.at mirī samā na sakī

bikhar gaya hun fazaon mein bu-e-gul ki tarah

mere wajud mein wusat meri sama na saki

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now