Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rehana Roohi's Photo'

Rehana Roohi

Karachi, Pakistan

Sher of Rehana Roohi

har december isī vahshat meñ guzārā ki kahīñ

phir se āñkhoñ meñ tire ḳhvāb na aane lag jaa.eñ

har december isi wahshat mein guzara ki kahin

phir se aankhon mein tere KHwab na aane lag jaen

maiñ ye bhī chāhtī huuñ tirā ghar basā rahe

aur ye bhī chāhtī huuñ ki apne ghar na jaa.e

main ye bhi chahti hun tera ghar basa rahe

aur ye bhi chahti hun ki tu apne ghar na jae

kaun kahāñ tak saktā hai

ye to vaqt batā saktā hai

TRANSLATION

How far can one go,

Only time can tell.

Sagar Akbarabadi

kaun kahan tak ja sakta hai

ye to waqt bata sakta hai

TRANSLATION

How far can one go,

Only time can tell.

Sagar Akbarabadi

jo bhiik māñgte hue bachche ke paas thā

us kāsa-e-savāl ne sone nahīñ diyā

jo bhik mangte hue bachche ke pas tha

us kasa-e-sawal ne sone nahin diya

Recitation

Speak Now