Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Riaz Majeed's Photo'

Riaz Majeed

1942 | Faisalabad, Pakistan

Sher of Riaz Majeed

vaqt ḳhush ḳhush kāTne mashvara dete hue

ro paḌā vo aap mujh ko hausla dete hue

waqt KHush KHush kaTne ka mashwara dete hue

ro paDa wo aap mujh ko hausla dete hue

ik ghar banā ke kitne jhameloñ meñ phañs ga.e

kitnā sukūn be-sar-o-sāmāniyoñ meñ thā

ek ghar bana ke kitne jhamelon mein phans gae

kitna sukun be-sar-o-samaniyon mein tha

simaTtī phailtī tanhā.ī sote jāgte dard

vo apne aur mire darmiyān chhoḌ gayā

simaTti phailti tanhai sote jagte dard

wo apne aur mere darmiyan chhoD gaya

isī hujūm meñ laḌ-bhiḌ ke zindagī kar lo

rahā na jā.egā duniyā se duur kar bhī

isi hujum mein laD-bhiD ke zindagi kar lo

raha na jaega duniya se dur ja kar bhi

bād-e-shām aa.e mahak uTThe mirā sahn riyāz

be-mahak jhāḌiyoñ se raat raanī nikle

baad-e-sham aae mahak uTThe mera sahn riyaz

be-mahak jhaDiyon se raat ki rani nikle

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now