Sher of Sabir Aafaque
pūchh us shaḳhs se maiñ jis ko nahīñ mil paayā
maiñ tujhe jitnā mayassar huuñ tirī qismat hai
puchh us shaKHs se main jis ko nahin mil paya
main tujhe jitna mayassar hun teri qismat hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh ko lagtā hai ghaḌī jis ne banā.ī hogī
intizār us ko bhī shiddat se kisī kā hogā
mujh ko lagta hai ghaDi jis ne banai hogi
intizar us ko bhi shiddat se kisi ka hoga
añdhere kā tasavvur kyā hai bolūñ
añdherā raushnī se chal rahā hai
andhere ka tasawwur kya hai bolun
andhera raushni se chal raha hai
bahut hī ḳhushkī meñ guzrī hai is baras holī
gila hai tujh se ki giilā nahīñ kiyā mujh ko
bahut hi KHushki mein guzri hai is baras holi
gila hai tujh se ki gila nahin kiya mujh ko
anā kā sirf mohabbat ilaaj hai 'āfāq'
tū nok vaale musallas ko dā.ere meñ milā
ana ka sirf mohabbat ilaj hai 'afaq'
tu nok wale musallas ko daere mein mila
ek sūra-fātiha aur chaar qul paḌh dījiye
jo thā pyārā us kī barsī hai guzārish dosto
ek sura-fatiha aur chaar qul paDh dijiye
jo tha pyara us ki barsi hai guzarish dosto
vasl ko maañ ke taraste haiñ mire bachche bhī
kaifiyat hijr kī mujh par hī nahīñ taarī hai
wasl ko man ke taraste hain mere bachche bhi
kaifiyat hijr ki mujh par hi nahin tari hai
maut aa jaa.e vabā meñ ye alag baat magar
ham tire hijr meñ nāġha to nahīñ kar sakte
maut aa jae waba mein ye alag baat magar
hum tere hijr mein nagha to nahin kar sakte
mil nahīñ saktā jo maiñ ne kho diyā
maut kā koī bhī mutabādil nahīñ
mil nahin sakta jo main ne kho diya
maut ka koi bhi mutabaadil nahin
hal nikal ā.eñge masā.il ke
ḳhud-kushī karne vaalo baat karo
hal nikal aaenge masail ke
KHud-kushi karne walo baat karo