Sher of Safiya Shamim
honā hai dard-e-ishq se gar lazzat-āshnā
dil ko ḳharāb-e-talḳhī-e-hijrāñ to kījiye
hona hai dard-e-ishq se gar lazzat-ashna
dil ko KHarab-e-talKHi-e-hijran to kijiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bahār-e-nau kī phir hai aamad aamad
chaman ujḌā koī phir ham-nafas kyā
bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad
chaman ujDa koi phir ham-nafas kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hosh aayā to kahīñ kuchh bhī na thā
ham bhī kis bazm meñ jā baiThe the
hosh aaya to kahin kuchh bhi na tha
hum bhi kis bazm mein ja baiThe the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis ko dil se lagā ke rakkhā thā
vo ḳhazāna luTā ga.e aañsū
jis ko dil se laga ke rakkha tha
wo KHazana luTa gae aansu
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dasht gulzār huā jaatā hai
kyā yahāñ ahl-e-vafā baiThe the
dasht gulzar hua jata hai
kya yahan ahl-e-wafa baiThe the
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ronā mujhe ḳhizāñ kā nahīñ kuchh magar 'shamīm'
is kā gila hai aa.ī chaman meñ bahār kyuuñ
rona mujhe KHizan ka nahin kuchh magar 'shamim'
is ka gila hai aai chaman mein bahaar kyun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download