Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sahil Ahmad's Photo'

Sahil Ahmad

1938 | Allahabad, India

Sher of Sahil Ahmad

374
Favorite

SORT BY

kyuuñ chamak uThtī hai bijlī baar baar

ai sitamgar le na añgḌā.ī bahut

kyun chamak uThti hai bijli bar bar

ai sitamgar le na angDai bahut

kis tasavvur ke tahat rabt manzil meñ rahā

kis vasīle ke ta.assur nigahbān thā maiñ

kis tasawwur ke tahat rabt ki manzil mein raha

kis wasile ke tassur ka nigahban tha main

un se ai dost mirā yuuñ koī rishta to na thā

kyuuñ phir is tark-e-ta.alluq se pashemān thā maiñ

un se ai dost mera yun koi rishta to na tha

kyun phir is tark-e-talluq se pasheman tha main

sher guphā se niklegā

shor machegā jañgal meñ

sher gupha se niklega

shor machega jangal mein

aaj kuaañ bhī chīḳh uThā hai

kisī ne patthar maarā hogā

aaj kuan bhi chiKH uTha hai

kisi ne patthar mara hoga

ro paḌīñ āñkheñ bahut 'sāhil' mirī

jab kisī ne haath sar par rakh diyā

ro paDin aankhen bahut 'sahil' meri

jab kisi ne hath sar par rakh diya

kal talak sahrā basā thā aañkh meñ

ab magar kis ne samundar rakh diyā

kal talak sahra basa tha aankh mein

ab magar kis ne samundar rakh diya

ab ke vo aise safar par kyā ga.e

phir dobāra lauT kar aa.e nahīñ

ab ke wo aise safar par kya gae

phir dobara lauT kar aae nahin

bakrī ''meñ-meñ'' kartī hai

bakrā zor lagātā hai

bakri men-men karti hai

bakra zor lagata hai

makḌiyoñ ne jab kahīñ jaalā tanā

makkhiyoñ ne shor barpā kar diyā

makDiyon ne jab kahin jala tana

makkhiyon ne shor barpa kar diya

Recitation

Speak Now