Sher of Saifi Azmi
kaash itnā hī samajh lete ye ahl-e-kārvāñ
fāsle baḌh jaate haiñ sahmī huī raftār se
kash itna hi samajh lete ye ahl-e-karwan
fasle baDh jate hain sahmi hui raftar se
aañkh nam ruḳh par udāsī dard bhī dil ke qarīb
kyā mohabbat aa ga.ī hai apnī manzil ke qarīb
aankh nam ruKH par udasi dard bhi dil ke qarib
kya mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib
har lafz-e-ārzū meñ jhalak un kī aa ga.ī
un ko nikāltā hī rahā dāstāñ se maiñ
har lafz-e-arzu mein jhalak un ki aa gai
un ko nikalta hi raha dastan se main
ḳhushī se phūleñ na ahl-e-sahrā abhī kahāñ se bahār aa.ī
abhī to pahuñchā hai ābloñ tak mirā mazāq-e-barhana-pā.ī
KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai
abhi to pahuncha hai aablon tak mera mazaq-e-barhana-pai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download