Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saima Esma's Photo'

Saima Esma

Lahore, Pakistan

Sher of Saima Esma

aisā kyā andher machā hai mere zaḳhm nahīñ bharte

log to paara paara ho kar juḌ jaate haiñ lamhe meñ

aisa kya andher macha hai mere zaKHm nahin bharte

log to para para ho kar juD jate hain lamhe mein

na-jāne kaisī nigāhoñ se maut ne dekhā

huī hai niiñd se bedār zindagī ki maiñ huuñ

na-jaane kaisi nigahon se maut ne dekha

hui hai nind se bedar zindagi ki main hun

naqsh jab zaḳhm banā zaḳhm bhī nāsūr huā

ke tab koī masīhā.ī pe majbūr huā

naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua

ja ke tab koi masihai pe majbur hua

kabhī kabhī to achchhā-ḳhāsā chalte chalte

yuuñ lagtā hai aage rasta koī nahīñ hai

kabhi kabhi to achchha-KHasa chalte chalte

yun lagta hai aage rasta koi nahin hai

aaj sochā hai ki ḳhud raste banānā siikh luuñ

is tarah to umr saarī sochtī rah jā.ūñgī

aaj socha hai ki KHud raste banana sikh lun

is tarah to umr sari sochti rah jaungi

jaane phir muñh meñ zabāñ rakhne masraf kyā hai

jo kahā chāhte haiñ vo to nahīñ kah sakte

jaane phir munh mein zaban rakhne ka masraf kya hai

jo kaha chahte hain wo to nahin kah sakte

mayassar ḳhud nigah-dārī āsā.ish nahīñ rahtī

mohabbat meñ to pesh-o-pas gunjā.ish nahīñ rahtī

mayassar KHud nigah-dari ki aasaish nahin rahti

mohabbat mein to pesh-o-pas ki gunjaish nahin rahti

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now