Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sardar Asif

Sardar Asif

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 12

ye kaise marhale meñ phañs gayā hai merā ghar mālik

agar chhat ko bachā bhī luuñ to phir dīvār jaatī hai

ye kaise marhale mein phans gaya hai mera ghar malik

agar chhat ko bacha bhi lun to phir diwar jati hai

maiñ ḳhud ko dekhūñ agar dūsre āñkhoñ se

mileñgī ḳhāmiyāñ apne shah-kāroñ meñ

main KHud ko dekhun agar dusre ki aankhon se

milengi KHamiyan apne hi shah-karon mein

ho lene do bārish ham bhī ro leñge

dil meñ haiñ kuchh zaḳhm purāne dho leñge

ho lene do barish hum bhi ro lenge

dil mein hain kuchh zaKHm purane dho lenge

ḳhat ho koī kitāb ho dil zaḳhm ho

jo bhī hai mere paas nishānī usī hai

KHat ho koi kitab ho ya dil ka zaKHm ho

jo bhi hai mere pas nishani usi ki hai

ḳhatā us muāfī se baḌī hai

maiñ kyā kartā sazā denī paḌī hai

KHata us ki muafi se baDi hai

main kya karta saza deni paDi hai

Recitation

Speak Now