Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sardar Genda Singh Mashriqi

1857 - 1909

Sher of Sardar Genda Singh Mashriqi

1.2K
Favorite

SORT BY

kholā darvāza samajh kar mujh ko ġhair

khā ga.e dhokā mirī āvāz se

khola darwaza samajh kar mujh ko ghair

kha gae dhoka meri aawaz se

phaaḌ kar ḳhat us ne qāsid se kahā

koī paiġhām-e-zabānī aur hai

phaD kar KHat us ne qasid se kaha

koi paigham-e-zabani aur hai

āshiq-mizāj rahte haiñ har vaqt taak meñ

siina ko is tarah se ubhārā na kījiye

aashiq-mizaj rahte hain har waqt tak mein

sina ko is tarah se ubhaara na kijiye

shaiḳh chal sharāb-ḳhāne meñ

maiñ tujhe aadmī banā dūñgā

shaiKH chal tu sharab-KHane mein

main tujhe aadmi bana dunga

piite haiñ jo sharāb masjid meñ

aise logoñ ko pārsā kahiye

pite hain jo sharab masjid mein

aise logon ko parsa kahiye

tum jaao raqīboñ karo koī mudāvā

ham aap bhugat leñge ki jo ham pe banī hai

tum jao raqibon ka karo koi mudawa

hum aap bhugat lenge ki jo hum pe bani hai

jo muñh se kahte haiñ kuchh aur karte haiñ kuchh aur

vahī zamāna meñ kuchh iḳhtiyār rakhte haiñ

jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur

wahi zamana mein kuchh iKHtiyar rakhte hain

Darā.egī hameñ kyā hijr añdherī raat

ki sham.a baiThe haiñ pahle ham bujhā.e hue

Daraegi hamein kya hijr ki andheri raat

ki shama baiThe hain pahle hi hum bujhae hue

go ham sharāb piite hamesha haiñ de ke naqd

lekin mazā kuchh aur paayā udhār meñ

go hum sharab pite hamesha hain de ke naqd

lekin maza kuchh aur hi paya udhaar mein

tirā aanā mire ghar ho gayā ghar ġhair ke jaanā

mujhe ma.alūm thī is ḳhvāb tābīr pahle se

tera aana mere ghar ho gaya ghar ghair ke jaana

mujhe malum thi is KHwab ki tabir pahle se

bhuul kar le gayā sū-e-manzil

aise rahzan ko rahnumā kahiye

bhul kar le gaya su-e-manzil

aise rahzan ko rahnuma kahiye

na chalo mujh se tum raqībo chaal

uñgliyoñ par tumheñ nachā dūñgā

na chalo mujh se tum raqibo chaal

ungliyon par tumhein nacha dunga

zāhid mirī samajh meñ to donoñ gunāh haiñ

but-shikan huā jo maiñ tauba-shikan huā

zahid meri samajh mein to donon gunah hain

tu but-shikan hua jo main tauba-shikan hua

chāhne vāloñ ko chāhā chāhiye

jo na chāhe phir use kyā chāhiye

chahne walon ko chaha chahiye

jo na chahe phir use kya chahiye

jab bosa le ke mudda.ā maiñ ne bayāñ kiyā

bole ziyāda paañv pasārā na kījiye

jab bosa le ke muddaa main ne bayan kiya

bole ziyaada panw pasara na kijiye

ek tīr-e-nazar idhar maaro

dil tarastā hai jaañ tarastī hai

ek tir-e-nazar idhar maro

dil tarasta hai jaan tarasti hai

kaalī ghaTā kab aa.egī fasl-e-bahār meñ

āñkheñ safed ho ga.iiñ is intizār meñ

kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein

aankhen safed ho gain is intizar mein

ek muddat meñ baḌhāyā ne rabt

ab ghaTānā thoḌā thoḌā chāhiye

ek muddat mein baDhaya tu ne rabt

ab ghaTana thoDa thoDa chahiye

zāhid namāz bhūlā idhar dekh kar tujhe

barham butoñ se apne udhar barhaman huā

zahid namaz bhula idhar dekh kar tujhe

barham buton se apne udhar barhaman hua

aage mere na tīkhī maar ai shaiḳh

raat mājrā sunā dūñgā

aage mere na tikhi mar ai shaiKH

raat ka majra suna dunga

laTakte dekhā siine par jo tere tār-e-gesū ko

use dīvāne vahshat meñ tirā band-e-qabā samjhe

laTakte dekha sine par jo tere tar-e-gesu ko

use diwane wahshat mein tera band-e-qaba samjhe

garebāñ ham ne dikhlāyā unhoñ ne zulf dikhlā.ī

hamārā samjhe vo matlab ham un mudda.ā samjhe

gareban hum ne dikhlaya unhon ne zulf dikhlai

hamara samjhe wo matlab hum un ka muddaa samjhe

dhar ke haath apnā jigar par maiñ vahīñ baiTh gayā

jab uThe haath vo kal rakh ke kamar par apnā

dhar ke hath apna jigar par main wahin baiTh gaya

jab uThe hath wo kal rakh ke kamar par apna

haiñ vahī insāñ uThāte rañj jo hote kaj

TeḌhī ho kar Dūbtī hai naav akasr aab meñ

hain wahi insan uThate ranj jo hote hi kaj

TeDhi ho kar Dubti hai naw akasr aab mein

kis se duuñ tashbīh maiñ zulf-e-musalsal ko tirī

fikr hai kotāh aur mazmūñ bahut hai duur

kis se dun tashbih main zulf-e-musalsal ko teri

fikr hai kotah aur mazmun bahut hai dur ka

ai shaiḳh apnā jubba-e-aqdas sambhāliye

mast aa rahe haiñ chaak garebāñ kiye hue

ai shaiKH apna jubba-e-aqdas sambhaaliye

mast aa rahe hain chaak gareban kiye hue

maza dekhā kisī ko ai parī-rū muñh lagāne

ab ā.īna bhī kahtā hai ki maiñ madd-e-muqābil huuñ

maza dekha kisi ko ai pari-ru munh lagane ka

ab aaina bhi kahta hai ki main madd-e-muqabil hun

ḳhayāl-e-nāf meñ zulfoñ ne mushkīñ bāñdh diiñ merī

shanāvar kis tarah girdāb se be-dast-o-pā nikle

KHayal-e-naf mein zulfon ne mushkin bandh din meri

shanawar kis tarah girdab se be-dast-o-pa nikle

ai shaiḳh ye jo māneñ ka.aba ḳhudā ghar hai

but-ḳhāna meñ batā phir kaun jalva-gar hai

ai shaiKH ye jo manen kaba KHuda ka ghar hai

but-KHana mein bata tu phir kaun jalwa-gar hai

ka.aba ko agar māneñ ki allāh ghar hai

but-ḳhāna meñ bhī shaiḳh nahīñ koī makīñ aur

kaba ko agar manen ki allah ka ghar hai

but-KHana mein bhi shaiKH nahin koi makin aur

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now