Sher of Sayyad Mohammad Meer Asar
kyā kahūñ kis tarah se jiitā huuñ
ġham ko khātā huuñ aañsū piitā huuñ
kya kahun kis tarah se jita hun
gham ko khata hun aansu pita hun
bevafā kuchh nahīñ terī taqsīr
mujh ko merī vafā hī raas nahīñ
bewafa kuchh nahin teri taqsir
mujh ko meri wafa hi ras nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis ghaḌī ghūrte ho ġhussa se
nikle paḌtā hai pyaar āñkhoñ meñ
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDta hai pyar aankhon mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apne nazdīk dard-e-dil maiñ kahā
tere nazdīk qissa-ḳhvānī kī
apne nazdik dard-e-dil main kaha
tere nazdik qissa-KHwani ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaam tujh se abhī to saaqī hai
ki zarā ham ko hosh baaqī hai
kaam tujh se abhi to saqi hai
ki zara hum ko hosh baqi hai
na kahā jaa.e ki dushman na kahā jaa.e ki dost
kuchh samajh meñ nahīñ aatā hai 'asar' kaun hai vo
na kaha jae ki dushman na kaha jae ki dost
kuchh samajh mein nahin aata hai 'asar' kaun hai wo
tere aane kā ehtimāl rahā
marte marte bhī ye ḳhayāl rahā
tere aane ka ehtimal raha
marte marte bhi ye KHayal raha
yaar ġhussa tirī balā khāve
kaam nikle jo muskurāne se
yar ghussa teri bala khawe
kaam nikle jo muskurane se
jannat hai us baġhair jahannam se bhī zubūñ
dozaḳh bahisht haigī agar yaar saath hai
jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozaKH bahisht haigi agar yar sath hai
ab terī daad na fariyād kiyā kartā huuñ
raat din chupke paḌā yaad kiyā kartā huuñ
ab teri dad na fariyaad kiya karta hun
raat din chupke paDa yaad kiya karta hun
tū hī behtar hai aa.ina ham se
ham to itne bhī rū-shanās nahīñ
tu hi behtar hai aaina hum se
hum to itne bhi ru-shanas nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
liyā hai dil hī faqat aur jaan baaqī hai
abhī to kaam tumheñ mehrbān baaqī hai
liya hai dil hi faqat aur jaan baqi hai
abhi to kaam tumhein mehrban baqi hai
raqīb dekh sambhal kar ke sāmne aanā
barahna teġh haiñ ik dast-e-rozgār meñ ham
raqib dekh sambhal kar ke samne aana
barahna tegh hain ek dast-e-rozgar mein hum
yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī bar-haq hai
par 'asar' kī hameñ to aas nahīñ
yun KHuda ki KHudai bar-haq hai
par 'asar' ki hamein to aas nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kin ne kahā aur se na mil tū
par ham se bhī kabhū milā kar
kin ne kaha aur se na mil tu
par hum se bhi kabhu mila kar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us sañg-dil ke dil meñ to naale ne jā na kī
kyā fā.eda jo aur ke jī meñ asar kiyā
us sang-dil ke dil mein to nale ne ja na ki
kya faeda jo aur ke ji mein asar kiya
āsūdgī kahāñ jo dil-e-zār saath hai
marne ke ba.ad bhī yahī āzār saath hai
aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahi aazar sath hai
tū kahāñ maiñ kahāñ pa kahte haiñ
ki ye aapas meñ donoñ rahte haiñ
tu kahan main kahan pa kahte hain
ki ye aapas mein donon rahte hain
kuchh na likkhā na paḌhā huuñ vale huuñ ma.anī-shanās
mudda.ā terā samajhtā huuñ ibārāt se maiñ
kuchh na likkha na paDha hun wale hun mani-shanas
muddaa tera samajhta hun ibaraat se main
yuuñ aag meñ se bhaag nikalnā nazar bachā
apne ta.iiñ to vaz.a na bhaa.ī sharār kī
yun aag mein se bhag nikalna nazar bacha
apne tain to waza na bhai sharar ki
dard-e-dil chhoḌ jā.iye so kahāñ
apnī bāhar to yahāñ guzar hī nahīñ
dard-e-dil chhoD jaiye so kahan
apni bahar to yahan guzar hi nahin
juuñ aks kahāñ mirā Thikānā
tere jalve se jalva-gar huuñ
jun aks kahan mera Thikana
tere jalwe se jalwa-gar hun