Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahid Meer's Photo'

Shahid Meer

1949 | Madhya Pradesh, India

An expert of Indian Music and Vocalist.

An expert of Indian Music and Vocalist.

Sher of Shahid Meer

aur kuchh bhī mujhe darkār nahīñ hai lekin

merī chādar mire pairoñ ke barābar kar de

aur kuchh bhi mujhe darkar nahin hai lekin

meri chadar mere pairon ke barabar kar de

pahle to chhīn mirī āñkhoñ raushnī

phir ā.īne ke sāmne laayā gayā mujhe

pahle to chhin li meri aankhon ki raushni

phir aaine ke samne laya gaya mujhe

shajar ne lahlahā kar aur havā ne chuum kar mujh ko

tirī aamad ke afsāne sunā.e jhuum kar mujh ko

shajar ne lahlaha kar aur hawa ne chum kar mujh ko

teri aamad ke afsane sunae jhum kar mujh ko

vahī saffāk havāoñ sadaf bante haiñ

jin daraḳhtoñ nikaltā huā qad hotā hai

wahi saffak hawaon ka sadaf bante hain

jin daraKHton ka nikalta hua qad hota hai

tujh ko dekhā nahīñ mahsūs kiyā hai maiñ ne

aa kisī din mire ehsās ko paikar kar de

tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai main ne

aa kisi din mere ehsas ko paikar kar de

gañvā.e baiThe haiñ āñkhoñ raushnī 'shāhid'

jahāñ-panāh insāf dekhne vaale

ganwae baiThe hain aankhon ki raushni 'shahid'

jahan-panah ka insaf dekhne wale

ḳhauf se ab yuuñ na apne ghar darvāza lagā

tez haiñ kitnī havā.eñ is andāza lagā

TRANSLATION

Do not shut your door out of fear,

Assess the velocity of wind, my dear.

Sagar Akbarabadi

KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

tez hain kitni hawaen is ka andaza laga

TRANSLATION

Do not shut your door out of fear,

Assess the velocity of wind, my dear.

Sagar Akbarabadi

bujhtī huī ek shabīh zehn meñ liye

miTtī huī sitāroñ saf dekhte rahe

bujhti hui si ek shabih zehn mein liye

miTti hui sitaron ki saf dekhte rahe

rone se aur lutf vafāoñ baḌh gayā

sab zā.iqa phaloñ meñ na.e pāniyoñ hai

rone se aur lutf wafaon ka baDh gaya

sab zaiqa phalon mein nae paniyon ka hai

Recitation

Speak Now