Sher of Shahid Siddiqui
tamām umr tirā intizār kar leñge
magar ye rañj rahegā ki zindagī kam hai
tamam umr tera intizar kar lenge
magar ye ranj rahega ki zindagi kam hai
ek pal ke rukne se duur ho ga.ī manzil
sirf ham nahīñ chalte rāste bhī chalte haiñ
ek pal ke rukne se dur ho gai manzil
sirf hum nahin chalte raste bhi chalte hain
urūj-e-māh ko insāñ samajh gayā lekin
hanūz azmat-e-insāñ se āgahī kam hai
uruj-e-mah ko insan samajh gaya lekin
hanuz azmat-e-insan se aagahi kam hai
na saath deñgī ye dam toḌtī huī sham.eñ
na.e charāg jalāo ki raushnī kam hai
na sath dengi ye dam toDti hui shamen
nae charag jalao ki raushni kam hai
qarīb o duur se aatī hai aap kī āvāz
kabhī bahut hai ġham-e-justujū kabhī kam hai
qarib o dur se aati hai aap ki aawaz
kabhi bahut hai gham-e-justuju kabhi kam hai
ab hayāt-e-insāñ kā hashr dekhiye kyā ho
mil gayā hai qātil ko mansab-e-masīhā.ī
ab hayat-e-insan ka hashr dekhiye kya ho
mil gaya hai qatil ko mansab-e-masihai
ham haiñ ḳhāliq-e-naġhma laao saaz ham ko do
giit chheḌ baiThe ho aur gā nahīñ sakte
hum hain KHaliq-e-naghma lao saz hum ko do
git chheD baiThe ho aur ga nahin sakte
ye kaisī mauj-e-karam thī nigāh-e-sāqī meñ
ki us ke ba.ad se tūfān-e-tishnagī kam hai
ye kaisi mauj-e-karam thi nigah-e-saqi mein
ki us ke baad se tufan-e-tishnagi kam hai